Auliya-E-Allah ki Pehchaan
Auliya Allāh ki pehchaan :
Qur’an :
10 Surah al-Yunus, Aayat 62-63-64 :
أَلَا إِنَّ أَوْلِيَاءَ اللَّهِ لَا خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلَا هُمْ يَحْزَنُونَ
الَّذِينَ آمَنُوا وَكَانُوا يَتَّقُونَ
لَهُمُ الْبُشْرَىٰ فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا وَفِي الْآخِرَةِ ۚ لَا تَبْدِيلَ لِكَلِمَاتِ اللَّهِ ۚ ذَٰلِكَ هُوَ الْفَوْزُ الْعَظِيمُ
Khabardar sun lo beshak jo ALLĀH ke dost hote hain unko na to koi khauf hota hai aur na koi gham hota hai.
Wo log jo eimaan laaye aur (hamesha) taqwa par rahe.Un ke liye duniya ki zindagi me (izzat wa kaamyabi ki) khushkhabari hai aur aakhirat me bhi (maghfirat wa shafa’at ki).
Qur’an :
9 Surah at-Tauba, Aayat 112 :
Wo Tauba karne wale, Ibaadat karne wale , (ALLĀH ki) Ta’arif karne wale, Rooku’ karne wale, Sajdah karne wale, Achhi baato ka hukm karne wale aur buri baato se rokne wale aur ALLAH ke hudood (shariat e islaam) ki hifaazat karne wale hain aur aise Mo’mino ko (jannat ki) khushkhabari suna do.
Hadeese Nabawi :
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne famaya hai ki
‘Wali woh hai jis (ki surat) ko dekhna tumhe ALLĀH ki yaad dilaye, Jis ki guftagu Ilm me izaafa kare, Aur jis ke amal aakhirat ki yaad dilaye.’
Ek baar Sultaan-ul-Aarifeen Hazrat Baayazeed Bustami rahmatullāhi alaihi ki baargah me ek shakhs aaya. Wo roz aap ki sohbat me rehta. 40 din ke baad wo aap se ijaazat lekar jaane laga. Aap ne farmaya ‘Koi khaas kaam se aaye the?’
Us ne kaha ke ‘Maine suna tha aap bade wali e kaamil hain. Is liye main aap se bai’at karne ke liye aaya tha. Ab jaa raha hu.’Aap ne farmaya ke ‘Lekin tum to bagair mureed hue jaa rahe ho.’Us ne kaha ke ‘Main itne din yaha raha, magar mujhe koi karaamat dekhne nahi mili. Is liye main waapas jaa raha hu.’Aap ne muskurakar farmaya ‘Tum 40 din yaha rahe. Mujhe yeh batao ke kya itne din me tum ne meri koi bhi namaaz chhuti ho aisa dekha ya maine koi bhi kaam khilaafe shariat kiya aisa dekha?’ Us ne kaha ke ‘Nai, maine aisa to kabhi nahi dekha.’Aap ne farmaya ke ‘Yehi sab se badi karaamat hai.
ALLĀH ta’ala jab kisi bande se raazi hota hai aur use pasand kar leta hai to use neki aur parhezgaari ki taufiq ata farmata hai aur phir us ke nek amal qubool karta hai to use ye khoobi ata farmata hai ke us ki dua qubool farmata hai. Sirf karamat dikhaana badi baat nahi, magar ALLĀH ta’ala ka khauf dil me rakhna aur us ki aur raza ke liye Ishq e Rasool sallallāhu alaihi wa sallam ke saath nek amal karna aur gunah se bachna ye zaroori hai aur ALLĀH ta’ala apna muqarrab banda banaaye ye asl kamal hai.’
Ye sunkar us shakhs ko baat samajh me aai aur foran aap ka mureeed ho gaya.
Sayyed ul Auliya Ghaus e aazam Hazrat Abdul Qaadir Jeelani rahmatullāhi alaihi farmate hain
‘Agar tum kisi ko hawa me udta dekho, Lekin wo Shariat ka paaband na ho,To wo Istidaraaj hai, Wilaayat nahi.’
Aur aap farmate hain
‘Jin ulema me 3 cheez maujood ho un ki sohbat ikhtiyaar karo : [1] Ilm [2] Amal aur [3] Ehsaan.’
Khwaja Sayyed Muhammad Baha-ud-deen Naqshband rahmatullāhi alaihi farmate hain
‘Tareeqat magz hai aur Shariat us ki chhal hai. Agar chhaal sahi na ho to magz bhi sahi nahi rahega. Isi tarah agar shariat par amal na kare to tareeqat bhi sahi nahi hogi.’
Ek baar kisi ne aap se koi karaamat dikhane ke liye kaha to aap ne farmaya ‘Wali ki karaamat ye hi hoti hai ki wo dunya me rehkar bhi gunaho se bachta hai.
Mujaddeed e Alfe saani Imaam Ahmad Sirhindi rahmatullāhi alaihi farmate hain
‘Agar koi hatheli par sarso jamaakar aur hawa me udkar dikhaaye, Magar shariat par amal na karta ho to hargeez Wali nahi hoga.
Hazrat Maulana Shaah Fazl-e-Rahmaan Gunj-muradabadi rahmatullāhi alaihi farmate hain
‘Sunnat e Rasool se hi Ghausiyat aur Qutubiyat hai. Jo Sunnat par amal na kare wo kabhi wali ho nahi sakta.’
Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan rahmatullāhi alaihi farmate hain
‘Wali ki asl karaamat ye hai ke wo hamesha nek aur parhezgaar hota hai aur shariat aur sunnat par amal karta hai.’
Aksar ye dekhne milta hai ke Wali Allāh ka mazaar kahi bhi ho us ke qareeb ek masjid zaroor hoti hai.
ALLĀH ta’ala Islaam ki hifaazat aur isha’at ke liye apne Wali ko bhejta hai.
Aur Wali Allah ALLĀH ta’ala ke hukm se apna watan aur pariwar aur azeezo dosto aur apna kaarobar aur milkiyat ko chhodkar kisi door ke anjaan mulk me jaate hain.Magar ALLĀH ke wali dunya ke kisi bhi ilaake me jaaye hamesha Zohad aur Taqwa ikhtiyaar karte hain aur ALLĀH ki ibaadat aur zikr jaari rakhte hain.Aur wo dusro ko bhi ALLĀH ta’ala ki ibaadat ka aur shariat par amal ka dars dete hain.
Agar hum Auliya Allāh se mohabbat ka daawa karte hain to hame bhi in ke dars o naseehat par amal karna chahiye aur Auliya Allah ki ziyaarat wa khidmat ke saath ALLAH ta’ala ki ibaadat karni chahiye aur waqt par Namaaz, Roza, Zakaat aur Hajj ada karna chahiye.Kyun ki ye Pyare Aaqa Sarwar e kaainat Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki bhi Sunnat hai aur ALLĀH ke muqarrab o muqaddas Auliya ki bhi Sunnat hai.
Agar hum un ke dars par amal nahi karte to sirf zabaani daawa karne se koi faaida nahi.
Kisi Peer e tareeqat (Spiritual mentor) ka mureed (Disciple) bankar Auliya Allāh ke silsile me daakhil hone se dunya aur aakhirat dono jahaan me un ke fayuz o barkaat aur kaamyaabi haasil hote hain.
Bai’at ke liye Peer me 4 baaten hona zaroori hai :
─────────────────────
(1) Saahib e tareeqat ho.Us ka silsila Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam tak muttasil ho taake upar se faiz jaari rahe.
(2) Sunni sahih ul aqeeda ho.
(3) Itna ilm rakhta ho ke apne zaroorat ke masaa’il kitaabo se nikaal le aur Haraam –Halaal aur Jaaiz – Na-jaaiz ka farq kar sake.
(4) Faasiq muallin (jo khullam khulla gunah karta hai) na ho.
Auliya Allāh Mo’min Saaleh bande hote hain.Un ke Aqeede aur amal sahih aur nek hote hain.Wo ikhlaas ke saath Raza e Ilaahi ke liye nek amal karte hain.Wo har amal Khushu’ aur Khuzu’ ke saath karte hain.Wo Riya aur Takabbur se paak hote hain.Unhe Shohrat ki laalach nahi hoti.Wo Ta’azeem e Rasool aur Ita’at wa Iteeba e Rasool karke mukammal ishq e Rasool ka saboot paish karte hain.Un ko ALLĀH ta’ala gunaho se bachne ki taufiq ata farmata hai.Wo hamesha Taqwa (parhezgaari) ikhtiyaar karte hain aur khufe khuda se gunaah se bachte hain.Wo Zohad ikhtiyaar karte hain aur hamesha ALLĀH ki raza ke liye aur aakhirat ke liye dunya (ke maal wa daulat) se muhabbat wa raghbat nahi rakhte.
Wo ALLĀH ke hukm se Islaam ki isha’at wa hifazat ke liye Karaamat zaahir karte hain aur Ghaib ki baaten batate hain.
Magar Karaamat zaahir karna zaoori nahi. Balke un ki sab se badi karaamat ye hoti hai ki wo har amal shariat e islaam ke mutabik karte hain.ALLĀH jise apna Wali banata hai wo wali banne ke baad hamesha gunaaho se bachta hai aur dunya ki mohabbat aur khwaahishaat se bhi parhez karta hai.Unhe na dunyaawi cheezo ka khauf hota hai aur na in cheezo ki laalach hoti hai aur na dunyawi nuqsaan ka ranj o gham hota hai.
Jis ka aqeeda sahi nahi wo Munafiq (Bad-mazhab) hai.
‘Munafiq’ ka ma’ana hai nifaaq rakhne wala ya’ni Zabaan se musalman hone ka daawa kare aur dil me Islaam aur Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ke khilaaf aqeeda rakhe.
Aur jin ke amal sahi nahi wo Faasiq aur Faajir hain.
‘Faasiq’ ka ma’ana hai Khule aam (jaan bujhkar) gunahe kabeerah karne wala.
‘Faajir’ ka ma’ana poshida rehkar gunahe kabeerah karne wala.
Faasiq wa Faajir amali munafiq hain.Ya’ni zabaan se Musalman hone ka daawa karne wala magar shariat e islaam ke khilaaf amal karne wala.Aur Faasiq ya Faajir kabhi ALLĀH ka Wali nahi ho sakta.
Agar koi ye maanta ho ke koi insaan khilaaf e Shariat amal karke Wali Allāh ban sakta hai to ye Mumkin bhi nahi aur Munasib bhi nahi.Kyun ki ALLĀH jise apna Wali banata hai wo Wilaayat milne ke baad kabhi koi bad-amal nahi karta.
ALLĀH ka wali kabhi Faasiq ya Faajir nahi hota.
Wo kabhi Farz arkaan chhodne wala (waqt par ada na karne wala), Daadhi na rakhne wala, Zina ya Ayyashi karne wala, Be-hayaai aur Bad-nigaahi karne wala, Sharaabi, Jhut bolne wala ya waada-khilaafi ya be-imaani karne wala, Gheebat ya Chugli karne wala ya Gaali bolne wala, Iljaam lagane wala, Gandi aur be-huda baaten karne wala, Naachna aur gaana- bajana jaaiz maanne wala, Haraam rizq khaane wala, Sood khor, Naap-tol me kami karne wala, Chori karne wala, Jua khelne wala, Fuzul kharchi karne wala, Bakhil (kanjoosi karne wala), Zulm karne wala, Fasaad karne wala, Be-rahami ya sakhti karrne wala, Takabbur karne wala, Bughz (kina) rakhne wala ya Hasad karne wala, Waalidain ki na-farmani karne wala ya un ko takleef dene wala nahi hota.
Aashiqane Mustafa se guzarish hai ki Is link ko open karke post padhen.Aur Like, Comment aur Share karen.
Auliya-allah-ka-bayaan
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe meAur tamaam Auliya Allāh ke waseele se Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ko Hidaayat ata farmae.Aur bai’at, sohabat wa khidmat, ziyaarat, zikr, tawassul, isaal e sawaab aur pairwi ke zariye Auliya Allāh ke fayuz o barkaat haasil karne wala banaye.Aur in baato ko yaad rakhkar us par amal karne ki aur dusro ko batane ki taufiq ata farmae.Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaaiz murado ko puri farmae. Aameen
