FAZAIL 3: QURAAN REHMAT HAI MOMININ KE LIYE:
Ab Rehmat Ko Humne 3 Hisso Me Taqseem Kiya Hai ,..
#1) Rehmat Duniya Ki, #2) Rehmat Barzakh(Qabr Ke Zindagi) Ki, #3) Rehmat Aakhirat Ki.
Allah Rabbul Quraan Me Iskey Talluk Se Farmata Hai:
“Ye Quraan Aye Nabi Momineen Ke Liye Hidayat Aur Rehmat Hai” – [Surah Nehal (16) Ki Ayat 77] – @[156344474474186:]
“Ye Quraan Nekokaro Ke Liye Rehmat Hai” – [Surah Luqmaan (31) Ayat 3]
Aayiye Iska Pahla Marhala Letey Hai Ke Duniya Me Kya Rehmat Hai ..
1:- Quraan Me Duniya Ki Rehmat
Duniyawi Fayda: Gumrahiyo Se Hifazat –
… Jo Shakhs Iss Kitab Se Apna Talluk Rakhta Hai, Isko Padhta Hai, Ispar Amal Karta Hai, Uss Insan Ki Gumrahiyo Se Uski Hifazat Hoti Hai,..
… Aaj Hum Quraan Ko Chorkar Ye Ummid Karte Hai Ke Gumraah Na Ho,.. Aur Quraan Padhne Walo Ko Kahte Hai Ke Tum Wo Chorrkar Falah Kitab Padho Tou Tum Gumraah Nahi Honge,. Subhan’Allah !!!
Allah Rabbul Izzat Ek Ayat Me Farmata Hai:
“Jo Koi Meri Hidayat Ki Pairwi Karega, Tou Na Tou Wo Gumraah Hoga Aur Naa Hi Kisi Taklif Me Mubtela Hoga” – [Surah Taha (20) Aayat 123]
… Ab Quraan Par Amal Naa Kar Ke Hum Tasawwur Karte Hai Allah Humko Hidayat Dega Aur Humari Hifazat Karega,.. Jabki Siway Gumraahi Ke Humare Hath Kuch Bhi Lagne Wala Nahi…
» Mahmfum-e-Hadees: Ek Riwayat Me Rasool’Allah(Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmatey Hai:
“Quraan Ka Ek Sira Allah Ke Hath Me Hai Aur Dusra Sira Uske Padhne Wale Ke Hath Me” – (Tibrani)
.. Ab Andaza Lagaiye Ke: Jab Quraan Ek Rassi Hai Aur Jiska Ek Sira Allah Ke Hath Me Aur Dusra Uske Padhney Wale Ke Hath Me ,.. Tou Kya Uss Shakhs Se Kabhi Ummid Hai Ke Wo Kabhi Gumraah Ho Sakta Hai?
Ya Uss Shakhs Ko Koi Zindagi Me Kabhi Gumraah Kar Payega? Jo Allah Ki Rassi Ko Thamey Ho Apne Hath Me…
* * * *
Duniyawi Fayda: Fitno Se Humari Hifazat Ho Jayegi –
… Quraan Jo Insan Padhta Hai , Uspar Amal Karta Hai Uski Zindagi Fitno Se Mehfooz Ho Jayegi ,.. Allah Usey Tamam Fitno Se Bacha Leta Hai ,..
» Mahmfum-e-Hadees: Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmatey Hai –
“Surah Kehaf Ki Ibtidayi 10 Aayte Yaad Karo! Isliye Ke Ye Dajjal Ke Fino Se Tumhe Mehfuz Rakhegi..” – (Sahi Muslim)
… Ye Baat Aap Aur Hum Sab Jaantey Hai Ke Dajjal Ka Fitna Sabse Bada Fitna Hoga.. Lekin Iss Fitne Se Nijat Ke Liye Jab Surah Kehaf Ki Chand Ayate Hi Kaafi Hai Tou Digar Fitney Aur Fasad Se Bachney Ke Liye Pura Quran Tou Abhi Baaki Hai,..
… Tou Beharhaal Quraan Jo Shakhs Padhta Hai Wo Dunia Me Fitnea Aur Fasaad Se Bachta Hai,..
* * * *
Duniyawi Fayda: Aafate-Samavi Se Insan Ki Hifazat Hoti Hai –
Yaani Balaao Se, Musibato, Zalzalo, Baadh Se Aur Kehat-saali Se Insan Ki Hifazat Hoti Hai,..
» Mahmfum-e-Hadees: Ek Martba Hua Youn Ke Nabi-e-Karam (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke Talluk Se Aata Hai, Ek Sahabi-e-Rasool Hazrate Uqba (RaziAllahu Anhu) Kehte Hai Ke –
“Hum Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke Sath Safar Me They Aur Achanak Badal Aa Gaye, Andhera Cha Gaya, Tej Aandhiya Chalney Lagi Aur Bilkul Tufan Jaisa Mahoul Ho Gaya,.
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ko Humne Dekha Ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Allah Me Panaah Mangna Shuru Kar Di Aur Uskey Baad Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Mauzatain (Surah Falak Aur Surah Naas) Padhney Lagey Aur Farmaya Ke – “Mauzatain Ke Jarye Allah Se Panah Maango! Ke Kisi Panah Mangne Ke Liye Inn Do Surto Se Jyada Behtar Koi (Aashar) Nahi” – (Sunan Abu Dawud)
… Tou Pata Chala Aafato, Zalzalo, Musibato Ke Andar, Kehat-saali Me Aise Mushkeel Ghadiyo Me Hume Chahiye Ke Hum Surah Falak Aur Surah Naas Ki Tilawat Karey Iss Se Hum Allah Ki Panah Me Aatey Hai,..
… Goya Duniyawi Aaftey , Jo Aasman Se Aa Sakti Hai , Zameen Se Aa Sakti Hai , Hawao Ke Jarye Aa Sakti Hai, Quraan Uss Se Bhi Humari Hifazat Ki Rehnumayi Karta Hai ,…
* * * *
Duniyawi Fayda: Rizq Me Farawani –
Jo Shakhs Quraan Padhta Hai, Uske Ahqamo Ke Mutabik Pe Amal Karta Hai Allah Ta’ala Uskey Rizq Me Farawani Deta Hai,…
Allah Rabbul Izzat Ek Aayat Me Fermata Hai –
♥ Al-Quraan: “Agar Ye (Yahudi) Tauraat Par Qaayam Rehte Aur Injeel Par Amal Karte Aur Aye Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) Jo Aap Par Utra (Quran) Uss Par Amal Karte Tou Aap Dekhtey Hum Inhe Khilatey Aasmano Se Aur Zameeno Se” – [Surah(5)Maida: Aayat-66]
… Subhan’Allah !! Gour Karne Waali Baat Hai Ke Agar Yahudiyo Ko Iss Kitab Par Amal Karne Ka Badla Deney Ka Wada Allah Kar Raha Hai Tou Yakinan Musalmano Ke Liye Bhi Ye Aayate Hai Ke – “Agar Hum Bhi Iss Kitab Ko Thamey Tou Allah Aasmaan Aur Zameen Se Humari Rozi Ka Intezam Farmayega,…
Ab Ye Kaise Mumkin Hai Ye Allah Hi Janta Hai, Aur Jisney Ispey Amal Kiya , Jisne Isko Dekha Hai Wohi Janta Hai Ke Kaise Allah Khilata Hai Aisi Roziya,…”
* * * *
Duniyawi Fayda: Siyasi Urooj Aur Gallba Hasil Hota Hai –
Jis Qoum Ne Iss Kitab Ko Thama , Iskey Mutabeek Unki Zindagi Rahi Unko Allah Rabbul Izzat Ne Siyasi Urooj Aur Galba Diya ,.. Wo Humesha Gaalib Rahe Duniya Pe Aur Logon Par Hukumat Ki,..
Islkey Talluk Se Sahi Muslim Ki Hadees Hai Ke –
» Mahmfum-e-Hadees: Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Fermatey Hai Ke –
“Allah Iss Kitab Ke Jarye Baaz Logon Ko Urooj Ata Fermata Hai Aur Baaz Ko Isi Ke Jarye Ruswa Aur Zaleel Karta Hai ,..” – (Sahih Muslim)
Matlab Ye Ke Jo Isey Padhenge , Ispar Amal Karenge , Unko Allah Duniya Me Urooj Dega, Jo Ispar Amal Nahi Karenge Ya Iskey Paigaam Ko Apne Mafad Ke Khateer Chupayenge Allah Unko Iss Dunia Me Zaleelo Khwar Karega ,..
* * * *
Duniyawi Fayda: Raat Ke Sharr Aur Fitno Se Insan Ki Hifazat –
Raat Ke Jo Sharr Hotey Hai , Fitne Aur Fasad Hotey Hai, Jaahir Si Baat Hai Jinn Aur Shayateen Aam Ho Jaatey Hai Jiskey Wajah Se Fitne Jayada Failatey Hai, Tou Quraan Me Iss Se Bhi Hifazat Hai,..
» Mahfum-e-Hadees: Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmatey Hai –
“Jo Raat Ko Sotey Wakt Ayatul Kursi Padhkar Soye Subah Tak Ek Farishta Uski Hifazat Karta Hai,..” -(Sahi Bukhari)
… Subhan’Allah! Gour Kijiye Kya Fazilat Hai Iss Qalaam Ki – “Ke Agar Raat Ko Ayatul Kursi Padhkar Sota Hai Koi Insan Tou Subha Tak Farishta Hifazat Karta Hai Uski,..”
… Andaza Lagayiye Jis Qalaam Ki Ye Aayat Hi Itni Taasir Rakhti Ho Tou Pura Qalaam Padhne Wala Aur Amal Karnewale Ki Zindagi Kaisi Hogi ,..
* * * *
Duniyawi Fayda: Khair-O-Barkat Ka Husool –
» Mahfum-e-Hadees: Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ke –
“Surah-Tul-Baqrah Padha Karo! Iska Padhna Bayase Barqat Aur Chorrna Bayase Hasrat Hai,..” – (Sahi Muslim)
… Aaj Aise Kitne Ghar Hai Jo Surah Baqraah Ki Tilawat Karte Hai? Ya Kitne Ghar Hai Jaha Quraan Ko Padha Jaata Hai? Mumkin Hai Ke Bohot Kum Log Hai Ke Hum Padhtey Hai,
Ya Jo Kuch Bhi Padhtey Hai Wo Makhsus Surtey Padhke Muamla Khatm Kartey Hai,.. Jabki Ye Puri Kitaab Ko Hume Padhna Hai Yaad Rakhiye,..
* * * *
Duniyawi Ranj Aur Gham Se Hifazat Hoti Hai –
» Mahfum-e-Hadees: Ek Aur Riwayat Me Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmatey Hai –
“Jo Shakhs 3 Martba Surah Ikhlas, Surah Falak Aur Surah Naas Tilawat Kar Ley Allah Rabbul Izzat Usey Har Kism Ki Musibate Aur Gham Se Mehfuz Rakhega” – (Sunan Abu Dawud)
» Mahfum-e-Hadees: Isi Tarha Ek Riwayat Me Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmatey Hai –
“Jo Shakhs Allah Se Quran Ki Tilawat Aur Sama’at Ke Jarye Qurane Majid Ko Aankho Ka Noor Aur Dil Ka Suroor Bananey Ki Dua Karta Hai,.. Allah Uska Dil Khush Kar Deta Hai Aur Usko Duniyawi Ranj-o-Gham Aur Musibato Se Uski Hifazate Kar Deta Hai” – (Musnade Ahmed)
… Yaani Koi Shakhs Quran Padhta Ho Aur Allah Se Dua Karta Ho Ke – “Aye Allah Iss Quraan Ko Mere Aankho Ka Noor Bana Dey Aur Dil Ka Suroor Bana Dey Aur Mere Ranj Aur Gham Door Kar Dey Jo Aisi Darkhwast Karta Hai Allah Uski Dua Kabool Fermata Hai Aur Duniyawi Ranj-O-Gham Aur Musibato Se Uski Hifazat Ata Farma Deta Hai …
2:- Quraan Me BARZAQ Ki (Qabr Ke Zindagi Ki) Rehmat :
Aayiye Dusri Reham Par Gour Karte Hai Jab Insan Mar Jaata Hai Aur Qabr Me Pohoch Jata Hai ,..» Mahfum-e-Hadees: – “Insan Jab Mar Jata Hai Tou Munkeer Nakeer 3 Sawaal Kartey Hai!Man Rabbuka (Tera Rab Koun), Man Nabiyuka (Tera Nabi Koun Hai), Maa Dinuka (Tera Deen Kya Hai)”Jab Nek Insan Sahi Jawaab De Dega Tou Chautha (4th) Sawaal Farishtey Karenge ,. Jo Sawaal Ki Shakl Me Nahi Hoga.Balki Wo Puchenge Aur Kahenge – Wama Yudreek ? (Kaise Miley Tujhe Inn Sawalo Ke Jawabat ?)…Tou Wo Shakhs Jawab Dega Aur Kahega: “Qaraatu Kitab Allahi Fa Amantubihi Wa Saddaqatuhu”(Maine Allah ki Kitaab Ko Padha Tha, Ispar Imaan Laya, Iski Tasdeek Ki Aur Apni Zindagi Uskey Mutabik Gujaari”– (Sahi Bukhari & Musnade Ahmed)
… Tou Pata Chala Qabr Ki Guidebook Bhi Quraan Hi Hai Yaad Rakhiye,..
*Jisney Isko Padha, Ispar Imaan Laya, Iske Mutabik Amal Kiya Wo Tino Sawalo Ke Sahi Jawabat De Payega,..
*Aur Jisne Iskey Padha Nahi, Ispar Imaan Nahi Laya, Ispar Amal Nahi Kiya, Naahi Iski Tasdeek Ki Wo Tino Sawal Me Fail Ho Jayega Aur Aakhirat Me Barabar Fatkey Padenge ,…
Tou Dekha Aapne ! Barzaq Ki Zindagi Me Bhi Quraan Ko Padhne Waale, Iske Mutabik Zindagi Gujarney Wale Hi Kamiyabi Hone Waale Hai Aur Baaki Log Naqaam Ho Jayenge….
3:- Quraan Me AAKHIRAT Ki Rehmat:
Fayda Aakhirat Me: Magfirat Ke Liye Quraan Sifarish Karega:
*Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmatey Hai:
» Mahfum-e-Hadees: “Quraan-e-Paak Padha Karo! Ye Qayamat Ke Roz Apne Padhnewalo Ke Liye Sifarishi Bankar Aayega” – (Sahi Muslim: Hadees-1874)
» Mahfum-e-Hadees: “Surat-Ul-Mulk Apne Padhney Wale Ke Liye Shifarish Karega” – (Sunan Nisayi)
» Mahfum-e-Hadees: “Surah Baqrah Aur Surah Aale-Imran Aayenge Aur Allah Rabbul Izzat Ke Samne Sifarish Karenge Jo Unko Padhkar Amal Karte They Unke Haq Me, Hatta Ke Allah Unhe Ijajat Dega Tou Wo Mujadila Bhi Karenge Uss Shakhs Ke Haq Me Jo Inki Tilawat Karta Tha, Padhta Tha Aur Allah Ke Hukm Ke Mutabik Amal Karta Tha..” – (Sahi Muslim)
… Yaad Rakhiye Surah Baqrah, Surah Aale Imran Aur Ibtidayi Jo 4-5 Badi-Badi Suratey Hai Ismey Aksar Ahqamat Hai Shariyat Ke,…
Tou Ye Quraan Hi Dekhiye Magfirat Ka Jarya Ban’ne Wala Hai ,..
Fayda Aakhirat Me: Qari Ke Liye Qurane Majid Ki Mutalibat:
*Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmatey Hai:
» Mahfum-e-Hadees: “Jo Shakhs Quraan Padhta Tha Aur Uspar Amal Karta Tha, Quraan 3 Mutalibaat Allah Ke Samne Rakhega, Yaani 3 Shartey Rakhega ..
Pehli Shart Hongi Ke “Aye Allah ! Jo Shakhs Mujhey Padhta Tha, Mujhpe Amal Karta Tha Isye Izzat Ka Libas Pahanaya Jaaye,..”
Allah Kahega – “Isey Pehna Do,..” Uss Shakhs Ko Izzat Ka Libas Pahanaya Jayega Aur Keemti Taaz Uskey Sir Par Rakh Diya Jayega,..
Dusri Shart – “Aye Allah Isko Firsey Izzat ka Libas Pehnaya Jaye”
Allah Fir Huqm Dega,.. Usey Ek aur Izzat Ka Libas Pehnaya Jayega Aue Keemti Taaz Uskey Sir Par Rakh Diya Jayega,..
Fir Teesra Mutaliba Karega Quraan Aur Kahega – “Aye Allah Iss Se Tu Raazi ho Ja”..
Allah Teeno Mutalibat Ko Kabool Karega Aur Uss Shakhs Se Raazi Ho Jayega ,… – (Jame Tirimizi)
Fayda Aakhirat Me: Mukarrab Farishto Me Khada Hoga:
*Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmatey Hai:
» Mahfum-e-Hadees: “Qurane Majid Ki Tilawat Karnewala, Aur Uss Tilawat Me Maharat Rakhne Wala, Uss Qari Ko Allah Rabbul Izzat Apne Nazdiki Farishto Me Shumar Karega,…” – (Sahi Muslim)
… Tou Goya Wo Insano Ke Giroh Se Nikal Kar Allah Ke Muqarrab Farishto Ke Giroh Me Ja Kar Shumar Hoga,…
Fayda Aakhirat Me: Qari-e-Quraan Ko Buland Darjat Milenge:
*Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmatey Hai:
» Mahfum-e-Hadees: “Ke Allah Rabbul Izzat Qari-e-Quraan Se Kahega Ke Quraan Padhta Ja Aur Terey Darjaat Mai Buland Karta Jaunga.. Jaha Tu Rukega Bus Wohi Tera Aakhri Darja Hoga !!!
Aur Qari-e-Quraan Padhta Jayega Aur Apne Darjaat Buland Karta Jayega,. Har Aayat Par Uska Darja Buland Hota Jayega,.. Hatta Ke Jitna Usey Yaad Hoga Wo Padhkar Suna Dega ,.. Wohi Uska Aakhri Darja Hoga ,.. ” – (Jame Tirmizi)
…. Tou Andaza Lagaiye Kya Fayda Hai Iss Kitab Ke Padhne Aur Ispe Amal Ke ,….
Fayda Aakhirat Me: Quran Par Amal Karne Wale Ke Walidain Ka Bhi Ikram Hoga:
*Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmatey Hai:
» Mahfum-e-Hadees: Quraan Ke Padhne Aur Amal Karnewale Ke Magfirat, Takreem Aur Izzat Karne Ke Baad Uskey Waliden Ko 2 Keemti Libaas Pehnaye Jayenge,..
Wo Walidain Puchenge Ke – “Aye Allah Kis Wajah Se Hume Pehanaya Gaya Itna Keemti Libas ?”
Tou Allah Unsey Farmayega Ke – “Apne Betey Ko Tumne Quraan Padhna Sikhaya Tha,. Ye Uska Badla Hai Aaj,..”
QURAAN SE DOORI KE WAJUHAAT:
Quraane Majid Ke Beshumar Fazilto Ke Ba-Wajud Log Is’sey Padhtey Nahi ,.. Tou Ab Aayiye Unn Aham 8 Wajuhat Par Gour Karte Hai Ke Log Quraan Kyu Nahi Padhtey ?..
Fazail Ki La-Ilmi –
Quraan Se Doori Ki Sabse Pahli Wajah Ye Hai Ke Hume Quraan Ke Fazail Hi Nahi Maloom! Ke Iskey Faydey Kya Hai ,. Tou Jab Kisi Cheez Ke Fayde Hi Maaloom Nahi Hotey Tou Insan Istemaal Hi Nahi Karta! Seedi Si Baat Hai..
*Lihaja Sab Se Pehle Fayde Maloom Kijiye Ke – “Quraan Ke Fazail Kya Hai ??? ,..” Kyunki Hum Fazail Nahi Jantey Tou Fayda Nahi Uthatey ,..
*Khajana Ghar Me Pada Hai ,.. Uski Ahmiyat Nahi Maalom Isiliye Usey Istemal Bhi Nahi Kar Paatey… Isko Koi Johari Aakar Parkhta Hai Jo Gairmuslim Iman Laatey Hai Wo Parkhtey Hai Iss Kitab Ko,.. Aur Wo Jab Iman Latey Hai Tou Hum Ko Rashk Aata Hai , Sharm Aati Hai Ke Mere Ghar Me Ye Kitab Thi , Maine Hi Isko Di , Iski Zindagi Tou Badal Gayi Lekin Mai Wahi Ka Wahi Pada Raha ,..
*Tou Iske Fazail Janiye , Fazail Jan’ne Se Iski Ahmiyat Maloom Hogi … Ahmiyat Maloom Honey Se Ispe Amal Karna Aasan Ho Jayega,.. Aur Datt Kar Ek Musalman Ispey Amal Karega..
*Tou Sabse Pahli Wajah Quraan Se Door Hone Ki Ye Hai Ke Iske Fazail . Iski Ahmiyat Se Hum Gafil Hai..
Tou Ummat Ke Jimmedaran Ki Ye Jimmedari Hai Ke Awam Ko Iske Fazail Se Rubru Karwaye…
* * * * *
Walidain Ki Laparwahi Aulad Ki Tarbiyat Me –
Ye Sabse Badi Wajah Hai Aaj Quraan Se Doori Ki – Ke Walidain Apni Aulad Ko Quraan Ki Ahmiyat Aur Fazilat Ke Talluk Se Koi Dars Nahi Letey ,..
*Hala Ke Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Ye Hukm De Chuka Hai Ke –
“Aye Imanwalo ! Apne Aap Ko Aur Apne Ahlo Ayyal Ko Jahhannum Ki Aag Se Bachao” -(Al-Quran 66:6)
… Ye Aayat Hum Baar-Baar Padhtey Hai Lekin Fir Bhi Walidain Ki Koshish Nazar Nahi Aati Apne Aulad Ki Tarbiyat Me .. Ellah Masha’Allah Jo Karte Hai Wo Iss Se Bari Hai..
*Baccho Ko Hum Badey-Badey Schools Me Daltey Hai ! Daliye Acchi Baat Hai,..
*Yahi Baccha Doctor, Engineer, Architecture Ban Raha Hai Aur Pata Nahi Kin-Kin Shobo Me Maharat Hasil Kar Raha Hai,.. Lekin Kuch Nahi Aata Hai Usko Tou Wo Hai Allah Ka Qalaam Usey Padhna Nahi Aata.. Tou Walidain Ki Sabse Badi Kotahi Hai Iskey Andar…
Aur Aayiye Ye Baat Bhi Hum Rakh Detey Hai Ke Surah Zumar Ki Aayat 15 Me Allah Ne Dekhiye Kya Baat Farmayi ,..
Agar Walidain Samjh Jaye Tou Bohot Acchi Baat Hai,..
“Aye Nabi Sunlo ! Roze Qayamat Jo Sabse Badey Khasara Uthaney Waley Log Wo Hongey Jisne Apne Nafs Ko Aur Apne Ahlo Ayyal Ko Khasare Me Daal Diya,..” – (Al-Quran 39:15)
… Lihaja Sabse Khassara Uthaney Wale Log Wo Honge Jisne Apne Nafs Ko Bhi Allah Ki Hidayat Se Door Rakha Aur Apni Ahlo Ayal Ki Bhi Tarbiyat Na Ki,…
*Tou Allah Ke Qalam Se Doori Ki Dusri Sabse Badi Wajah Ye Hai Ke Walidain Ki Kotahi Aulad Ki Tarbiyat Me… Tou Soch Lijiye Apne Rab Ko Hum Kya Jawab Denge Gour Karne Wali Baat Hai Mere Azeezo !! …
* * * * *
Sabse Badi Wajah: Ummul Fitan (T.V.)
Allah Ke Qalaam Se Humari Doori Ki Tisri Wajah Television Hai,.. Ye Bohot Badi Fitne Ki Jadd Hai, Ye Fasion Parasti, Ye Burayi, Behayai , Besharmi, Zina, Bepardagi, Nowjawano Ki Berahravi Ye Tamam Cheezo Ki Vajah Hai TV,.. *Isiliye Ummul Fitan Yaani Fitnoki Maa Naam Diya Humne Isey,…
Ye Satellite Chanels Ne Ummat Ka Beda Gark Kar Diya ,.. Kyunki Ke Jab 4 Ghantey, 10 Ghantey Tv Dekhenge Tou Allah Ka Qalaam Kab Padhenge? Kab Mouka Milega?
*Isiliye Hum Baar-Baar Kehtey Hai Ke Jo Log Apni Gharo Ki Islah Chahtey Hai Wo T.V. Ko Uthakar Fenk Dey Ghar Se,.. Tab Hi Aapke Gharo Ki Islah Ho Sakti Hai Warna Ummid Hi Mat Kijiye Ke Aapki Naslo Ko Acchi Tarbiyat De Paoge,..
*Kyunki Jabtak Ganda Paani Aata Rahega , Acha Paani Uss Hauz Me Nahi Bhara Ja Sakta,.. Ye T.V. Gandgi Lata Hai,..
Aur Aap Kahoge Ke Ab Deen Sikhaunga, Shariyat Sikhaunga, Kitabo Sunnat Ki Talim Deta Rahunga ,.. Hume Bataye Kya Sikhenge Wo Bacche?
Deeno-Shariyat Tou Aadhey Ghaney Ka Hoga, Baaki 10 Ghantey T.V. Dekhete Rahenge.. Aur Usi Se Sikhtey Hai Ke Kya Karna Hai Aur Kya Nahi Karna !!!
* * * * *
Badi Umar Ki Vajah Se Zizak –
Ab Mai Budha Ho Gaya , Ab Mai Bada Ho Gaya, 30 Saal Ka Ho Gaya, 50 Saal Ka Ho Gaya,. Quran Ab Kaise Sikhu,..??
Aksar Ye Vajah Bhi Hoti Hai Logon Ki Quraan Se Doori Ki ,.. Tou Yaad Rahe Quraan Ki Talim Hasil Karne Ki Koi Makhsus Umr Nahi Hai ,.. Koi Sharm Ki Baat Nahi Hai ,..
Sahaba Par Jab Quraan Nazil Hua Tou Koi 60 Saal Ka Hai , Tou Koi 70, 80 Tou Koi 90 Saal Ka Hai,. Aur Sab Dilchaspi Se Sikh Bhi Rahe They,.. Kyunki Jab Fayda Maloom Ho Gaya Tou Kisi Bhi Umar Me Sikha Ja Sakta Hai .. – @[156344474474186:]
* * * * *
Digar Qutub Aur Wajaif Ki Bharmar –
Digar Qutub Aur Wajaif Ko Logon Ne Itni Ahmiyat De Di Ke Quraan Ke Bilmukabil Logone Dusri Kitabe Ijaad Ki ,..
*Ya Kuch Logno Ne Quraan Ko Hata Hi Diya Aur Kaha Ke Iski Tou Jarurat Hi Nahi Hai Insaniyat Ki Hidayat Ke Liye,. Iske Liye Tou Falah Kitab Hi Hidayat Ke Liye Hai,..
Aur Uss Kitab Se Aisi Mohabbat Karte Hai Jaisa Allah Ki Kitab Se Honi Chahiye, Uss Kitab Par Wo Tawajjo Detey Jo Allah Ki Kitab Ka Haq Hai…
*Tou Digar Qutub Aur Wajaif Ne Is Quraan Ki Ahmiyat Ko Kum Kar Diya,.. Allah Hume Bachaye Aise Fitno Se,..
* * * * *
Bohot Mushkil Kitab Hai (Maaz’Allah)
Ek #Misaal Deta Hu – Aapka Ek Bacha Hai Jo Har Roz School Se Fatkey Kha Kar Aata Hai,.. Aap Jakar School Ke Teachers Se Vajah Puchtey Ho Ke – “Kyu Marte Ho Mere Bacche Ko Har Roz..”
*Tou Wo Teacher Kehta Hai Ke – “Ye Bacha Padhke Hi Nahi Aata Kuch,. Kal Humne Physics Padhaya, Chemistry Padhaya, Botany Padhaya Fir Bhi Isey Kuch Nahi Samjhta ,..”
*Aap Kahoge – “Ye Tou K.G. Me Admission Dilaya Maine Isey Teacher! … Aur Aap Tou College Ke Subject Padha Rahe Usko ,..” Aap Uss Bewakuf Teacher Ko Fatkey Dekar Aaoge,.. Ke Wo Log Baccho Ko Aisa Syllabus Padhatey Hai Jo Unki Umr Ke Liye Hai Hi Nahi ,..
*Ab Mera Ek Buniyadi Sawal Hai Ke – “Allah Rabbul Izzat Apne Bando Ke Liye Ek Kitab Bana Raha Hai ,..
Agar Wo Kitab Bando Ko Hi Samajh Na Aaye Tou Koun Bewakuf Hua Usme, ??? ”
Subhan’Allah !! Allah Rabbul Izzat Tou Hikmat Wala Hai,.. Wo Ye Kaam Nahi Kar Sakta Ke Aisi Kitab De Dey Uske Bando Ko,.. Jisko Wo Padhna Farz Karey , Jispe Amal Ko Farz Karey Aur Ye Kahe Ke Tumko Samjh Me Nahi Aayegi ..
*Jabki Ye Samhjh Aati Hai Siway Iske Ke Humne Isey Samjhna Na Chaha Aur Kuch Mafadparsto Ne Hume Samjhne Na Diya,..
*Aur Jaahir Si Baat Hai Ke – Jab Sabke Liye Qalam Hai Tou Kaise Hum Nahi Samjh Saktey Isey ??
*Allah Rabbul Izzat Quraan Me Farmata Hai – [Surah (54) Qamar] me Aayat 17, 22, 32, 40 Aisi 4 Baar Ye Aayat Repeat Hoti Hai –
“Ke Humne Iss Quraan Ko Nasihat Ke Liye Aasan Kar Diya Hai! Tou Hai Koi Padhney Wala Aur Is Se Nasihat Hasil Karnewala ,…” – (Al-Quran: 54:17)
… Allah Keh Raha Hai Aasan Hai Aur Baaz Log Keh Rahe Hai Mushkil Hai ,.. Subhan’Allah!!
*Lihaja Hume Chahiye Ke Mafadparsto Ke Behkaawe Se Bahar Nikley Aur Allah Ki Kitaab Par Gour Kare,. Uska Muta’ala Karey Aur Uspar Amal Ki Koshish Karey ,..
* * * * *
Padhey Tou Amal Karna Padta –
Quraan Se Doori Ki Ek Wajah Yeh Bhi Hai Ke Quraan Padhey Tou Amal Karna Padta Aur Naa Padhe Tou Bach Jatey,..
Subhan’Allah!!
*Agar Wakay Me “Quran Ko Padhey Tou Amal Karna Padta Aur Nahi Padhey Tou Chal Jata” Iss Usool Ko Maan Ley Tou Hume Batayiye Sabse Pahle Jannat Ka Mustahik Koun??
*Jaahir Si Baat Hai Kaafir Hi Hotey,.. Wo Tou Kehety Ke – “Aye Allah Padhna Aur Naa Padhna Tou Bohot Door Ki Baat ! Humko Tou Maloom Hi Na Thi Ke Ye Teri Kitab Hai ,.. Lihaja Hum Tou Tere Azab Se Bari Ho Gaye..” (Subhan’Allah)
*Hume Bataye Kya Ye Log Jannat Me Jayenge ?? Agar Aap Na Kahte Hai Tou Fir Ummid Kaise Karte Hai Ke Hum Bhi Na Padey Tou Jannat Ke Mustakih Ho Jayenge?
*Darhakikat Ye Shaitan Ka Diya Hua Ek Bahana Hai Jo Usney Allah Ke Qalaam Se Momino Ko Door Karne Ke Liye Diya Hai,.. Sharm Ki Baat Hai Ye Kitaab Tou Aayi Thi Insaniyat Ke Amal Ke Liye ,.. Lekin Humne Is Se Doori Ko Apna Shaiwa Bana Liya Hai ..
* * * * *
Quraan Padhey Tou Gumaarah Ho Jatey –
Ek Sabse Ghatiya Aur Intehahyi Baqwas Vajah Ye Hai Aaj Humare Quraan Se Doori Ke – Ki Quraan Padhey Tou Gumraah Ho Jatey ,.. Subhan’Allah !!!
*Jo Quraan Insaniyat Ke Liye Kitab-e-Hidayat Hai Agar Wo Musalmano Ko Hi Gumrah Kar Dey Tou Kya Dawat Denge Hum aur Aap Gairmuslimo Ko ???
*Darhakikat Wo Log Khud Gumrah Ho Chukey Hai Iss Kitab Ko Chodkar Jo Kahtey Hai Ye Kitab Gumrahi Deti Hai ,..
*Allah Rabbul Izzat Ek Aayat Me Fermata Hai Ke –
“Jo Meri Hidayat Ki Pairvi Karega Wo Kabhi Gumraah Nahi Hoga” – (Surah Taha Ayat 123)
… Lihaja Allah Ki Kitab Hidayat Ki Hi Hai Wo Kabhi Gumraahi Nahi Deti Siway Iske – Ke Kafir Agar Isey Gumrahi Ki Niyat Se Padhey Tou Wo Gumrah Hojayega ,..
*Lekin Jo Hidayat Ki Niyat Se Padhta Hai Wo Sirf Aur Sirf Hidayat Hi Pata Hai ,..
*Gour Karne Wali Baat Hai Mere Azizo ,.. Koi Aam Baat Nahi,…
Ek Badey Mansubo Ke Tehat Musalmano Ko Apne Hi Rab Ke Qalaam Se Door Karne Ki Sajish Ki Ja Rahi Hai,.. Taaki Ummat Ki La-Ilmi Ka Fayda Uthakar Ye Log Apni Dukaney Chala Sakey,..
*Aur Na Jaane Kaise-Kaise Bahano Se Ummat Ko Allah Ki Kitab Se Door Rakha Gaya ,..
Jabki Ye Kitab Agar Sabke Liye Hai Tou Ye Mushkil Kaise Ho Sakti Hai ?
Ha Ye Baat Alag Hai Ke Uski Gehrayi Tak Sab Nahi Ja Sakte, Ulema Aur Mufakkir Hi Jayenge,.. Lekin In Mafadparsto Ne Ulemao Ki Tafseer Bhi Nahi Padhni Di Logon Ko.. Taaki Kahi Inki Poley Na Khul Jaye ,…
“Yaad Rahe Agar Quraan Ek Samndar Hai Tou Isme Sab Tair Sakte Hai ,.
Lekin Gota Sirf Makhsus Log Hi Laga Saktey Hai”
*Kyunki Ke Quraan Sabke Liye Aaya Hai ,..
Allah Janta Tha Ke Ye Quraan Qayamat Tak Ke Liye Hidayat Hai , Isme Yahudi Honge , Isayi Honge, Majushi Honge , Tamam Kism Ke Mushrik Aur Kafir Honge ,..
Tou Sabke Hisab Se Quraan Design Kiya Hoga Na Allah Ne! Ke Sab Samjh Sakey,.. Yakinan Sabke Liye Hidayat Hai Isme,..