AAKHIRAT AUR HASHR KA BAYAAN

Beshak zameen,Aasmaan,Jinn,Insan Aur farishte sab ek din fanaa ho jayenge,Sirf ALLAH T’ALA hi humesha se hai aur humesha rahega, 

Duniya ke fanaa hone se pahle kuch nishaniya zahir hongi jaise :- 

3 Khusoof honge matlab  yeh ki aadmi zameen me dhans jayenge yeh khusoof poorab me dusra paschim me aur teesra arab ke jazeere me, 

Deen ka ilm uth jayega matlab Aalim utha liye jayenge,Aisa bhi nahi ki aalim baqi rahein aur unke dillon se ilm mit jaye aur khatm ho jaye, 

Jihaalat badh jayegi matlab deen ka ilm rakhne wale kam ho jayenge, 

Zinaa ki ziyadati aur behayaai aur besharmi itni badh jayegi ki Bade chhote ka lihaaz khatm ho jayega, 

Mard kam honge aur Auratein itni zyada hongi ki ek mard ki maathati me 50, 50 auratein hongi, 

Us badhe dajjal ke alawa 30 aur dajjal honge aur yeh saab Nubuwwat ka dawa karenge jabki NUBUWWAT khatm ho chuki hai, Un Nubuwwat ka dawa karne walon me se kuch guzar chuke hain jaise muslaima, Qazzab Taahila ibne huwailad aswad Ansi,Sajjah(ek aurat jo baad me islam le aai) aur gulaam ahmad qadyani aur iske alawa zahir honge, 

Maal bahut zyada ho jayega yahan tak ki Furaat ki nadee se sone ke pahaadh niklenge,

Arab jaise mulk me kheti baag aur nahrein ho jayengi, 

Deen par qaaim rahna itna mushkil hoga jaise hatheli me angara lena mushkil hai,Yahan tak ki nek aur shareef Aadmi qabristan me jakar Tamanna karega ki kash main is qabr me hota,

Waqt me barkat na hogi yahan tak ki ek saal maheene ki tarah maheena hafte ki tarah hafta din ki tarah aur din aisa ho jayega ki jaise kisi cheez ko aag lagi aur jaldi hi boojh gai,Yani bahut jadli jaldi waqt guzrega, 

logon par zakaat dena bhaari hoga log zakaat ko taawaan zurmana samjhenge,

Kuch log ilme deen padhenge lekin deen ke liye nahi balki duniya ke liye, 

Mard apni aurat ka Farmabardar hoga,Aulaadein apne Maa Baap ki nafarmaani karegi,

Ladke apne doston se mel jol rakhenge aur Maa Baap se Juda ho jayenge, 

Log masjidon me duniya ki bekar baat karenge aur chillayenge, 

Gaane bajaane ki zyadati hogi,

Log agle logon par laanat karenge aur unhe bura kahenge, 

Darinde jaanwar aadmi se baat karenge,Korhe ki funchi aur joote ke fite bhi baat karenge jab aadmi bazaar jayega to jo kuch uske ghar me hua hoga joote ke tamse use batayenge,Yahan tak ki insan ki Raan bhi insan ko khabar degi, 

Zaleel aur gawaar log jinko tan ka kapda aur paao’n ki jootiyaan naseeb na thi badhe badhe mahlon me guroor ke sath rahenge. 

Dajjal ka zahir hona :

Dajjal 40 din me (Harmain shareefain ke alawa) sari duniya me firega,

40 din me pahla din saal bhar ke barabar hoga,Dusra din Maheene bhar ke barabar,Teesra din hafte ke barabar aur baqi din 24, 24 ghante ke honge,

Dajjal aandhi toofan ki tarah tezee ke sath jaise badal ko hawaa udaati ho ese sair karega.Uska fitna sabse sakht hoga,Uske sath ek aag hogi,Ek baag,Dajjal jahan jayega urke sath yeh cheezein jayengi,

Aag ko jahannam batayega aur baag ko jannat,

lekin jo dekhne me aag hogi aur jise jahannam samjha jayega who haqeeqat me aaram ki jagah hogi Aur jo dekhne me baag hoga woh haqeeqat me aag hogi,

Dajjal apne aap ko khuda kahega,jo us par eimaan layega aur use khuda maan lega,Woh use apne jannat me daal dega aur jo use khuda manne se inkar kar karega usko woh apne jahannam me daal dega,

Dajjal murde jilayega,zameen uske hukm se sabz ugaayegi,

Woh aasman se pani barsayega,logon ke janwar khoob lambe choude taiyyar aur doodh wale ho jayenge,aur jab woh viraan junglon me jayega to shahad ki makhkhiyon ki tarah dal

ke dal zameen ke khazane uske sath ho jayenge,

Isi qism ke woh bahut se kartab aur karishme dikhlayega lekin haqeeqat me kuch bhi na hoga,

Yeh jadoo aur shaitaano’n ke karishme aur tamashe honge, Is liye dajjal ke wahan se jate hi logon ke pas kuch nahi rahega,

Dajjal jab harmain shareefain me jana chahega to firishte uska muh mod denge,

Albatta madeene me zalzale aayenge,wahan ke jo log zahir me musalman bane honge aur dil se kafir honge aurwoh log jinke bare me ALLAH janta hai ki we dajjal par eimaan laa kar kafir honge woh sab log in zalzalon ke dar se shahar chhod kar bhagenge aur dajjal ke fitne ka shikar honge,

Dajjal ke sath yahoodiyon ki fouj hogi,Dajjal ke sar par ‘ Kaaf ‘ ‘ Fe ‘ ‘ Re ‘ ya’ani KAFIR likha hoga yeh lafz sirf musalman hi pad sakenge,kisi kafir ko nazar na aayenge,Dajjal jab sari duniya me fir fira kar Mulke sham me pahunchega to us waqt HAZRATE ISAA ALEIHISSALAAM aasman se damishk ki jame masjid ke poorabee meenar par subah ke waqt aise waqt par utrenge jab ki farz ki namaaz ke liye takbeer ho chuki hogi,

HAZRATE IMAAM MAHDEE bhi us jama’at me moujood honge,Unse HAZRATE ISAA ALEIHISSALAAM imamat ke liye kahenge,

IMAAM MAHDEE RADIYALLAHU T’ALA ANHU Namaaz Padayenge udhar dajjal ka haal ye hoga ki who HAZRATE ISAA ALEIHISSALAAM ki saans ki khushboo se Pighalna shuru hoga jaise pani me Namak Ghulta hai aur unki saans ki khushoo Door-Door  tak Failegi,

Dajjal bhagta firega aur HAZRATE ISAA ALEIHISSALAAM uska peechha karte hue uski peeth par Nezaa marenge aur use mout ke ghat utarenge.

HAZRATE ISAA ALEIHISSALAAM KA DOUR : 

✏Ab HAZRATE ISAA ALEIHISSALAAM ka dour hoga, 

✏Aapke zamane me maal itna zyada hoga ki agar koi kisi ko kuch dena chahega to woh lene se inkar kar dega,

✏Us zamane me dushmani, hasad,Aur jalan Naam ki koi cheez na hogi,

✏HAZRATE ISAA ALEIHISSALAAM,Kinjeer ko maar dalenge aur saleeb ko tod denge,

✏Tamaam ahle kitab ya’ani Tourat,Zaboor,Injeel,Qur’aan shareef ke maanne wale jo dajjal ke zulm se bach jayenge,woh HAZRATE ISAA ALEIHISSALAAM par eimaan layenge,

Saari duniya me ek hi deen islam aur Ek mazhab  ‘Mazhabe ahl e sunnat ‘hoga,

✏Bachche saanp se khelenge, Sheir aur Bakree ek sath nazar ayenge,

HAZRATE ISAA ALEIHISSALAAM 40 saal tak rahenge,Woh Nikah karenge aur unki aulaad bhi hogi,

✏Wafaat ke bad Roza e Anwar me dafan honge,

HAZRATE IMAAM MAHDEE KA ZAHIR HONA : 

✏HAZRATE IMAAM MAHDEE RADIYALLAHU T’ALA ANHU ke zahir hone ka waqiya yeh hai ki Duniya me jab sab Jagah se islam simat kar makke madeene me pahunch Jayega us waqt saare abdaal aur auliya hijrat karke wahin pahunch jayenge,

✏Saari zamin kufristaan hogi,Ramzan shareef ka maheena hoga, Abdaal ka’abe ka tawaaf karte honge,

✏HAZRATE IMAAM MAHDEE wahin honge,Auliya unhe pahchan kar unse bai’at (mureed hone) ke liye kahenge,

✏Wo inkar karenge,achanak gaib se yeh awaaz aayegi ki

✅Tarjuma : ” yeh ALLAH ke kaleefa Mahdee hain,Inki baat suno aur inka hukm mano “

✏Tamaam log unke hathon par bai’at karenge aur wahan se sab ko apne sath lekar mulke sham ko tashreef le Jayenge,

✏Dajjal ke qatl ke bad ALLAH T’ALA ka HAZRATE ISAA ALEIHISSALAAM ke liye hukm hoga ki musalmanon ko kohe Toor par le jaao,Is liye ki kuch aise log zahir honge jisne ladne ki kisi me taaqat na hogi. 

✅YAJOOJ MAJOOJ KA NIKALNA :

Jab HAZRATE ISAA ALEIHISSALAAM ALLAH ke hukm se musalmanon ko kohe toor par le jayenge to yeh yajooj majooj Niklenge,

YE itne zyada honge ki dus meel ki ek nadi ya jheel BUHAIRYE TABREEYYA par se jab unki pahli jama’at guzaregi to jama’at ke log us nadi ya jheel ka pani pee kar is tarah sukha denge ki bad me aane wali dusri Jama’at yeh kahegi ki yahan kabhi pani tha hi nahi,

Yeh yajooj majooj jab duniya me qatl Aur gaarat se fursat payenge to kahenge ki duniya walo ko qatl kar Chuke ab aasman wale ko bhi qatl kiya jaye yeh kah kar weh apne teer aasman ki Taraf fekenge, ALLAH ki Qudrat se unke teer khoon me lithdhe hue girenge,

Fir HAZRATE ISAA ALEIHISSALAAM aur unke sathiyon ki dua se Yajooj Majooj ki gardano ek tarah ke kide parh Jayenge aur dum ke dum me sab mar jayenge,

Udhar HAZRTE ISAA ALEIHISSALAAM apne sathiyon ke sath pahaad par ghire hue honge manhgaai ka yeh haal hoga ki gaay ke sar ki qeemat 100 asharfiyon se zyada hogi,

Yajooj Majooj ke marne ke bad jab pahaad se utarenge to sari zamin par Unhe yajooj majooj ki sarhi hui itni lash milengi ki ek bigha (24600 squire feet) Zamin bhi khali nahi milegi,

Fir ALLAH T’ALA kuch parinde bhej dega jo un lashon ko ALLAH jahan chahega fek aayega,

Unke teer kamaan aur tarkash ko musalmaan 7 saal tak jalayenge,

Fir aisi barish hogi ki zamin se phool fal paida honge

ALLAH ke hukm se zamin aur aasman se itni barkat nazil hogi ki ek anaar se ek jama’at ka pet bhar jayega aur uske chhilke ke saaye me 10 aadmi baith sakenge,

Doodh me itni barkat hogi ki ek untnee ka doodh ek jama’at ki liye,Ek gaay ka doodh ek qabeele ke liye,Aur ek bakree ka doodh ek khandan ke liye kafi hoga,

Uske bad ek aisa waqt aayega ki ALLAH ke hukm se aisa dhuwa’n zahir hoga ki zamin se aasman tak andhera hi andhera hoga. 

✅Daabbatul ard ka nikalna :-

Daabbatul Ard ek aisa Jaanwar hoga jiske hath me HAZRATE MOOSA ALEIHISSALAAM ki asaa (chhadhi) aur HAZRATE SULAIMAAN ALEIYHISSALAAM ki Anguthi hogi..

Woh Us Ase se har Musalaan ki peshani par ek Noorani Nishan banayega aur Anguthi se har kafir ke Maathe Par ek bahut badha kala dhabba banayega, 

Us waqt saare musalmaan aur kafir zahir honge, 

Musalmaanon aur kafiron ki yeh nishaniyaan kabhi na badalengi,

Jo kafir hai woh kabhi Eimaan na layega aur jo Momin hain humesha Eimaan par qaayam rahenge. 

Sooraj ka paschim se Nikalna :- 

Is nishani ke zahir hote hi TOUBA ka darwaza band ho jayega,

Agar us waqt koi Islam Qubool karna chahe to us ka Islam qubool nahi kiya jayega.

HAZRATE ISAA ALEIHISSALAAM ki WISAL ke zamaane ke baad jab Qayamat Qaayam hone ko Sirf 40 Saal Baqi Rah jayenge to ek Khushboodaar Thandi hawaa chalegi,Jo logon ki Bagalon se Guzaregi,Jska natija yeh hoga ki Musalmaanon ki Rooh Qabz ho jayegi aur kafir hi kafir rah jayenge aur unhi par qayamat qaaim hogi. 

 Isse pahle kuch nishaniyan bayan ki gai inme se kuch zahir ho chuki aur kuch baqi Hai,

Jab sari nishaniyan poori ho payengi Aur musalmanon ki bagalon ke beech se woh khushboodar hawaa guzar legi,Jisse sare musalman inteqaal ho Jayenge to uske bad 40 saal ka zamana Aisa guzrega ki jisme kisi ko koi aulaad na hogi,

Matlab yeh ki 40 saal se kam umar ka koi na hoga,

Woh ek aisa waqt hoga ki har taraf Kafir hi kafir honge aur ALLAH kahne Wala koi na hoga,

log apne kaamo me lage honge ki Anchanak HAZRATE ISRAAFEEL ALEIHISSALAAM ko soor Foonkne ka hukm hoga, Woh ALLAH ke hukm se fookenge,

Pehle -Pehle uski aawaz dhimi hogi phir.Dhire –Dhire bahut unchi ho jayegi, log kaan laga kar uski Aawaz sunenge Aur behosh hokar girenge aur fir mar jayenge,

✔Aasman, ✔Zameen,✔Sitaare,✔Soor,✔Israafeel Aur Tamaam aur tamaam Firishte fanaa ho jayenge,

Us waqt siwa us KHUDA E ZULJALAAL ke koi na hoga,

Us waqt woh poore jalaal ke sath farmayega    LEEMAANEEL MULKUL YOUMA [AAJ KIS KI BAADSHAHAT HAI]  Kahan hain woh jaabir aur kahan hai Mutakabbir magar hai koun jo jawab de,

Fir ALLAH khud hi farmayega ki  LILLAHIL WAA HIDIL QAWWAR..[SIRF ALLAH WAHID QAHHAR KI SALTANAT HAI]

Fir ALLAH T’ALA chahega Israafeel Aleıhissalaam Zinda kiye jayenge aur soor ko Paida karke dobara foonke ka hukm dega,

Soor Foonkte hi Tamam pahle aur bad wale Insan,JInnat,Haiwanat,Firishte Aur dono jahan me ki sari cheez moujud ho jayengi sabse pahle NABIYON KE SARDAR,ALLAH KE MAHBOOB,HUM SABKE AAQA WA MOULA HAZRAT MUHAMMAD SALLALLAHU T’ALA ALEIYHI WASALLAM Apne qabre mubarak se is shaan se Nikalenge ki unke dahine hath me Pahle kaleefa HAZRATE ABOO BAKR Aur baayein hath me dusre kaleefa HAZRATE UMAR FAROOQUE RADIYALLAHU T’ALA ANHUMA ka hath hoga,  SUBHANALLAH

Fir makka shareef aur madeena shareef ki qabron me jitne bhi musalman dafan hain,sabko apne sath lekar hashr ke maidan me tashreef le jayenge,

AQEEDA : Qiyamat beshak qaayam hogi aur iska inkar karne wala kafir hai,

AQEEDA : Hashr sirf rooh ka hi nahi hoga balki rooh aur Jism dono ka hoga,

Agar koi yeh kahe ki Roohein uthengi Aur jism zinda nahi honge to woh bhi gumrah aur baddeen hai,                      

Duniya me jo rooh jis jism ke sath thi, us rooh ka hashr usi Jism ke sath hoga, Aisa nahi hoga ki koi naya jism paida karke uske sath rooh laga di jayegi,

AQEEDA : jism ke tukde agarche marne ke bad alag-alag ho gaye hon ya unhe janwar kha gaye hon,ALLAH T’ALA jism ke un tamaam tukdo’n ko ikattha karke qiyamat ke din uthayega. 

Qiyamat ke din log apni-apni Qabron se Nange badan Nange paao’n uthenge,Aur woh log aise honge ki unka khatna na hua hoga,Koi sawar honge koi paidal, Kuch akele sawar honge aur kisi par 2,Kisi par 3, Kisi par 4, Kisi par 1 sawar honge,

Kafir muh ke bal chalte-chalte maidan e Hashr me jayenge,Kisi ko firishte ghaseet kar le jayenge, Kisi ko aag gher kar le jayegi, Yeh hashr ka maidan mulke shaam me Qaaim hoga,

Zameen taambe ki hogi aur itni chiknee aur Barabar hogi ki ek kinaare par Raai ka Dana Gir jaye to dusre kinaare se saaf dikhai dega,

Us din sooraj ek meel par hoga, Is hadees ke riwayat karne wale kahte hain ki pata Nahi Meel ka matlab surme ki salaai hai ya raste ki doori hai,

Agar Raste ki doori bhi maan li jaye to bhi sooraj bahut qareeb hoga kyoki ab sooraj 4000 saal safar ki doori par hai..Aur humari duniya ki taraf sooraj ki peeth hai,To fir bhi jab sooraj samne aa jata hai to ghar se nikalna dushwar ho jata hai,

Lekin jab sooraj ek meel ki doori par hoga,Aur sooraj ka muh humari taraf hoga to aag aur garmi ka kya haal hoga,

Aur ab to zameen mitti ki hai to pair me chhale padte hain, To us waqt jab zameen Taambe ki hogi aur sooraj qareeb hoga to us waqt garmi ka koun andaaz kar sakta hai,

ALLAH panaah me rakhe us waqt haal yeh hoga ki sar ke bheje khoulte honge aur itna zyada paseena niklega ki paseene ko zameen 70 gaz tak sokh legi,Fir jo paseena zameen na pee sakegi woh paseena zameen se upar chadte-chalte kisi ke thakhno tak, kisi ke Ghutno tak KisI ke kamar tak,Kisi ke seene aur kisi ke gale tak pahunch jayega,Aur kafiron ke muh tak pahunch kar Lagaam ki tarah jakad lega jisse woh dubkiyan khayega,Is garmi me payaas ka haal yeh hoga ki Zubanein sookh jayegi aur muh se bahar nikal aayengi,Dil Ubal kar gale ko aa jayenge Har ek ko uske gunah ke mutabiq saza milegi,Jisne sona chandi ki zakaat na di hogi us maal ko garm karke uske karwat Aur peshani aur peet par daag diya jayega.

Jisne janwar ki zakaat na di hogi uske Janwar qiyamat ke din khub mote Taaze hokar Aayenge aur us aadmi ko wahan lita kar woh janwar Apne sing se Maarte aur pairo’n se Roudnte hue us par se us waqt tak guzarte rahenge,Jab tak logon ka hisab khatm hoga.Is tarah aur doorsi sazaayein bhi hongi Fir yeh ki is Musibaton me koi ek dusre ka puchne wala na hoga,

Bhai Bhai se Bhagta Dikhai dega, MAA BAAP aulaad se peechha chuudayenge Biwi bachache alag jaan churayenge,Har ek apni musibat me giraftar hoga, Koi kisi ka madadgar na hoga.

Us waqt HAZRATE AADAM ALEIHISSALAAM ko hukm hoga ki woh Douzakhiyon ki Jama’at Alag karein,Woh puchhenge ki kitne me kitnon ko Alag karuin?

ALLAH farmayega har 1000 Me 999,Yeh woh waqt hoga jab bache gam ke Mare Budhe ho jayenge,Hamal wali Aurat ka Hamal Gir jayega,log aise dikhenge jaise nashe me Hon Halanki Nashe me na honge,

ALLAH T’ALA ka azaab bahut sakht hoga aur logon ko Hazaaron Musibaton ka samna karna padhega aur yeh Musibat 2, 4 din ya 2, 4 Maheenon ko Nahi HOngi Balki Qayamat ka din 50000 baras ka hoga,

Hashr ke Aadhe din tak log isi tarah Musibaton me Rahte hue apne Shifarishi ki talash karenge ki woh KHUDAYE ZULJALAAL ke saamne Unki shafa’at kar sake,Musibat ke maare log girte padhte AADAM ALEIHISSALAAM ke paas pahunchenge aur fariyad karenge ki AI AADAM, Aap abul bashar (Aaadmi ke baap) hain, ALLAH T’ALA ne aapko Apne Daste Qudrat se Banaya hai, Aap me apni chuni hui rooh dali hai, Farishton se aapko sajda karaya,Jannat me aapko rakh kar tamaam Cheezon ke naam Sikhaye,ALLAH ne Aapko Shafi(Dost Chuna Hua Khalis)banaya aap dekhte nahi hum Kitni Musibat me hain aap humari shafa’at kijiye,HAZTE AADAM ALEIHISSALAAM Farmayenge ki mera yeh Martaba nahi Mujhe Aaj apni jaan ki Fiqr hai aaj..ALLAH ne Apna aisa Gazab aur Jalaal Zahir kiya hai ki na to aisa kabhi hua aur na kabhi hoga tum kisi aur ke paas jaao,log poochenge ki aap hi batayein ki hum kiske paas jayein,Woh kahenge ki tum HAZRATE NOOH ke paas jaao q ki woh pahle RASOOL hain ki zameen par hidayat ke liye bheje gaye log Rote Peet’te Musibat ke Maare HAZRATE NOOH ALEIHISSALAAM ke Paas Pahunchge Aur un se Unki Fazilat bayaan karke apni shafa’at ke liye Fariyad karenge ki aap Apne Paalanhaar Se Humari Shafa’at kar Dijiye ki who humara Faisla de lekin wahan bhi Yehi Jawab denge ki main is laaiq nahi mujhe Apni Padi hai tum kisi aur ke Paas Jaao Aur Unke Batane se Musibat ke maare log HAZRATE IBRAHEEM ALEIHISSALAAM ke paas jayenge,Wahan bhi yehi jawab milega to log HAZRATE MOOSA. ALEIHISSALAAM.AUR HAZRATE ISAA ALEIHISSALAAM ke paas jayenge,HAZRATE ISAA ALEIHISSALAAM irshad Farmayenge ki tum unke paas jaao jo Shafa’at ka Darwaza Kholenge Jinhe koikhouf nahi jo tamaam aadam ki aulaad ke sardar hain aur wohi khatamun nabeeyyeen hain,

Ab Log Firte Firaate Thokrein khate,Rote Chillate Aur Duhaai dete us Bekas Panaah ke Darbar me Hazir honge jo ALLAH ke mahboob HAZRAT MUHAMMAD SALLALLAHU T’ALA ALEIYHI WASALLAM hain,SARKAR ki Bahut sI Fazilatein bayan kar ke kahenge

” SARKAR Dekhiye to hum kitnee Musibat me hain AAP ALLAH ke darbar me humari Shafa’at kar Dijiye,humko is musibat se najaat Dilwaiye,

SARKAR Musibat ke Maaron ki Fariyad Sunenge aur Farmayenge.. ANAA LAHAA [MAIN IS KAAM KE LIYE HU]

ANAA SAAHIBUKUM [MAIN WOHI HU JISE TUM TAMAAM JAGAH DHOOND AAYE HO)

Yeh kah kar HUZOOR ALLAH ke darbar me Jayenge Aur Sajda karenge ALLAH T’ALA irshad Farmayega ki,

Tarjuma : AYE MUHAMMAD SALLALLAHU T’ALA ALEIYHI WASALLAM Apna sar Uthaaiye Aur Kahiye Aapki Baat Suni Jayegi aur Aap jo Mangege Diya Jayega Aur Shafa’at Kijiye Aapki Shafa’at Maqbool hai,

Dusri riwayat me hai ki ” aap farma dijiye ki aapki itaa’at aur Farmabaradi ki jayegi...( Bahare shariat )

ISI LIYE SARKAR TAJUSH SHRIYA NE FARMAYA…

HAR NAZAR KAAMP UTHEGI MEHSHAR KE DIN…KHAUF SE HAR KALEJA DEHEL JAEGA..MUSKURATE HUE AAP AA JAENGE…

HASHR KA SARA NAKSHA BADAL JAEGA…SALLAHU ALAYHI WASALLAM

ALLAHU AKBAR…

ALLAH HUM SAB GUNAHGARO KI MEDAN E HASHR ME HIFAZAT FARMAE AUR HUMARI MAGFIRAT FARMAE…

Fir to Shafa’at ka Silsila Shuroo ho jayega yahan tak ki Jiske Dil me Raai ke daane ke Barabar bhi Eimaan hoga use bhi shafa’at karke Jahannam se Nikalenge aur jo sachche dil se musalmaan ho aur uska koi nek amal na ho use bhi douzakh se Nikalenge, 

Fir tamaam NABI apni apni ummaton ki shafa’at karenge, Fir Wali,✅Shaheed,✅Aalim,✅Hafiz, Aur ✅Haaji..Log Shafa’at karenge Balki har woh aadmi apne apne Rishtedaaron ki shafa’at karenge Jinko koi deeni Darja ya martaba ataa kiya gaya ho,Yahan Tak ki log Aalimon ke paas jakar Kahenge ki humne aapke liye Ek Waqt Wuzoo ke liye pani diya tha,Koi kahega Humne aapko Istinje ke liye Dhele diye the to aalim log unki bhi shafa’at karenge,

Hisaab kitaab haq hai aur har ache bure kaam ka hisaab hoga,

✅AQEEDA :- 

Jo Hisaab ka inkar karega Woh kafir hai aur Hisaab Ane ke bahut se Tareeqe hain,Jaise kisi se is Tarah hisaab liya jayega ki usse chupke se puchha jayega ki Tune yeh kiya aur yeh kiya,Woh apne Gunahon ka Iqraar karta jayega aur dil me ALLAH ke khouf se dar raha hoga ki ab najaat mumkin nahi, lekin ALLAH T’ALA Farmayega jo Maine Duniya me tere Aib chhupaaye ab Bakhsh Raha huin

[SUB’HAN ALLAH YA ALLAH Faqeer par bhi karam ho aur Tamaam musalmaan par] 

Aur kisi se sakhti ke sath ek ek baat puchhi jayegi,Jisse is tarah sawaal hoga Uski Halaakat Saamne hai.

[ALLAH raham farmaye]

ALLAH T’ALA Kisi se Puchhega ki Aye Falaane kya Maine Tujhe Izzat na di thi, Kya Maine Tujhe Sardar na banaya tha ? Aur Kya Tujhe Ghodhe oont wagairah ka malik na banaya? Aur jo kuch bhi use diya gaya hoga woh sab use yaad dilaya jayega, woh sabka iqraar karega, fir ALLAH puchhega ki kya tujhe mujhse milne ka dhyaan na tha? Woh kahega ki nahi, tab ALLAH farmayega ki jab tune mujhe bhoola diya to hum bhi tujhe azaab me daalte hain. 

Kuch Kafir Aise bhi honge ki ALLAH T’ALA Apni di hui Doulaton ko Unhe Yaad Dila Kar Unse Puchhega ki tumne kya kiya? To woh jawab Denge hum Teri Kitaab ko Maante he tujh par Teri Kitaabon Aur Tere RASOOLON par Imaan laye,Namaazein Padhi, Roze Rakhe,Zakaat Ada Ki.Sadqe Diye Aur Bahut se Kaamon ki Fehrist KHUDA ke samne pesh karenge, ALLAH T’ALA Farmayega Achachha Ruko Tum par Gawaah Pesh honge,

Kafir apne Jee me sochega ki Koun Gawaahi Dega,

Lekin ALLAH ke hukm se un ke Muh par Taale padh Jayenge aur Unke jism aur badan ke har Hisse ko hukm hoga ki bole chale,Us waqt Us ki ☑Raan,☑Hath,☑Paao’n,☑Gosht,☑Pust, ☑Haddiyaan Wagairah sab Gawahi Denge aur Unke saare bure kartoot ALLAH ke samne pesh karenge,ALLAH unhe jahannam me daal dega, 

HUZOOR E AKRAM SALLALLAHU T’ALA ALEIYHI WASALLAM Farmate hain ki Meri Ummat me 70,000/- Behisaab Jannat me Jayennge Aur Unke Tufail Waseele se har ek ke sath 70,000 Aur ALLAH T’ALA 3 Jama’ate Aur Dega Jinki Ginti ke baare me kuch nahi kaha ja sakta, 

Tahajjud padhne Wale Behisaab Jannat me jayenge, HUZOOR ki ummat me aisa Aadmi bhi Hoga Jiske 99 Daftar Gunaahon ke honge aur woh sab daftar khole jayenge,Fir ALLAH puchhega ki inme se tumhe kisi baat ka inkar to nahi? Mere Farishte KIRAMAN KATIBEEN Ne Tum par Zulm karte hue galat baatein to nahi likh di’n ? Ya tere paas koi bahana to nahi? To woh apne RAB ke samne apne gunaahon ko tasleem karega, 

ALLAH T’ALA farmayega haan Teri ek Neki humare samne hai aur usi ki wajah se tujhe najaat milegi,                                

Fir ek parcha laya jayega jis par likha hoga 

 ” ASH’HADU A(N)LLAA ILAAHA ILLALLAHU WA ASH’HADU ANNA MUHAMMADAN A’BDUHU WA RASOOLUHU ” 

Tarjama :-

Main gawahi deta huin ko ALLAH ke siwa koi ibaadat ke laaiq nhi Aur Beshak MUHAMMAD SALLALLAHU T’ALA ALEIYHI WASALLAM uske bande aur RASOOL hain.. “ 

Aur ALLAH Use hukm dega ki jaao Meezan par un Daftaron ke samne is parche ko rakh kar toul kara lo,wo kahega YA ALLAH un Daftaron ke samne is parche ki kya haqeeqat hai, 

ALLAH farmayega ki tere sath insaf kiya jayega,Fir ek Palle par woh sab Daftar Rakhe jayenge aur ek me woh parcha, ALLAH ki Marzi Se woh Parche wala palla Daftaron se bhari ho jayega,

Yeh uski Rahmat hai aur uski rahmat ki thaah nahi. 

Idhar Tamaam Mahshar Wale to Pul siraat paar karne me lage honge aur Udhar woh Begunaah Gunahgaaron ka Shafi’a Pul ke Kinare khadha hua Apni Ummat ke Gunahgaaron ke liye Giriya o Zaari Karke Yeh dua kar rahe honge :- 

” RABBI SALLIM SALLIM ”    Tarjama :- ILAAHI in gunahgaaron ko bacha le bacha le “ 

[SUB’HAN ALLAH] 

Us din HUZOOR kisi ek Jagah par Nahi Thahrenge Balki Kabhi Meezaan par honge aur jiski Nekiyon me kami Dekhenge uski Shafaa’at Karke Use Najaat Dilaayenge,Kabhi Houj par Pyaason ko Sairaab karte hue nazar aayenge aur aan hi aan me fir Pul siraat par, Garaz har Jagah Unhi ki Pahunch hogi,Sirf SARKAR ki hi zaat hogi Jinhe Apni Koi Fiqr Nahi Balki Saare Aalam ka Bojh Unhi par hai,Un par durood ho, 

SALLALLAHU T’ALA ALEIYHI WA A’ALA AALIHEE WA AS,HAABIHEE WA BAREEK WASALLAM 

ALLAHUMMA NAJJINA MIN AHWALIL MAHSHARI BIJAAHI HAAZANNABIYYILKAREEM A’ALEYHI WA A’ALA AALIHEE WA AS,HAABIHEE AFDHALUSSLAATI WATTASLIMEE AAMEEN 

Tarjama :-

ALLAH T’ALA UN PAR RAHMAT NAZIL FARMAYE AUR UNKI AULAAD AUR UNKE AS,HAAB PAR, (UNHE) BARKAT AUR SALAMATI DE, AI ALLAH, HUZOOR SALLALLAHU T’ALA ALEIYHI WASALLAM KE WASEELE SE HUMKO HASHR KI MUSIBAT SE NAJAAT DE, AUR UN PAR AUR UNKI AULAAD PAR AUR UNKE ASHAAB PAR AFZAL DUROOD AUR SALAAM,AUR RAHMAT NAZIL KAR  AAMEEN 

HASHR ME UNKO DEKHENGE JIS DUM.UMMATI YE KAHENGE KHUSHI SE..AA RAHE HAI WO DEKHO MUHAMMAD..

JINKI HAI SHAAN SABSE NIRALI…SALLAHU ALAYHI WASALLAM

Ye Qayamat ka ek din 50000 saal Ka hoga Jiski Musibat Anginat hongi lekin jo ALLAH ke khas bande Hain unke liye Qayamat din Itna Halka kar diya jayega ki jitni der me Aadmi Fazr ki Namaaz paadh le Utni der ka din maloom hoga, 

Kuch logon ke liye palak Jhapakte hi sara Din Khatm ho jayega Jaisa ki ALLAH T’ALA ne farmaya ki, 

Tarjama :- 

Qayamat ka Mu’ Aamla Nahi Magar Jaise palak Jhapakna Balki Us se bhi kam ” 

Yani ALLAH ke khas Bandon ke liye Qayamat ka din palak jhapakne ke barabar Ya us se bhi kam hai, 

Sabse badi Ne’amat jo Musalaanon ko us roz Milegi woh ALLAH ka Deedaar hoga Kyo ki ALLAH T’ALA ka deedaar har doulat se badi doulat hai Jise ek Baar uski ziyarat Naseeb hogi woh uski lazzat ko kabhi nahi bhool sakta,

Aur Sabse Pahle ALLAH ka deedar dono jahan ke SARDAAR HUZOOR AQDAS SALLALLAHU T’ALA ALEIYHI WASALLAM ko hoga, 

Ab tak To Hashr ke Mukhtasar Haalaat Bataye Yaye aur in Tamaam Kaamon ke baad humesha ke liye jannat ya Jahannam ka thikana hoga, 

Kisi Ko Araam ka Ghar Milega Jis Araam ki koi Thaah nahi, Us araam ke ghar ko jannat kahte hain,Aur kisi ko Takleef ke ghar jana hoga Jise Jahannam kahte hain,

Yeh Jannat aur Douzakh haq hai,Inka Inkar karne wala kafir hai, 

AQEEDA :- ALLAH T’ALA ne jannat aur douzakh ko hazaaron saal se bhi pahle paida kiya, Aur jannat aur douzakh aaj bhi moujood hain,Aisa aqeeda rakhna ki Qayamat se pahle ya Qayamat ke din jannat aur douzakh banaye jayenge gumrahi aur baddeeni hai,

AQEEDA : QAYAMAT, Basa’a Yani Mout ke Baad Zinda Hona, Hashr, Hisaab, Sawaab, Azaab, Jannat aur douzakh sabka wohi matlab hai jo musalmaanon me Mashhoor hai, 

Kuch logon ne naye Matlab Garh liye hain jaise sawaab ka matlab apne achaaiyon ko dekh kar khush hona,

Azaab ka Matlab apne Buraaiyon ko dekh kar Gumgeen hona, Ya sirf sirf Roohon ka Hashr Samajhna Bahut BadI Gumrahi aur Baddeeni hai.