SHABAN MAHINE KE FAZAYEL, AMAL WA ISKI PANDRAHWIN RAAT "SHAB -E- BARA’AT"
Shaban islami saal ka 8wa mahina hai. Is
mubark mahine mai allah paak apne momin bando ki nizat ka saman farham
farmata hai. Is Mubarak mahine barkate hashil karne ke liye allah ke
pyare rasul Mustafa-jane-alam-sallallaho-alaye-wa-sallam ne farmaya-
Shaban mera mahina hai, razab allah ka mahina hai aur ramzan meri ummat
ka mahina hai. Shaban gunaho ko duur karne wala aur ramzan gunaho se
paak karne wala mahina hai. Razab wa ramzan ke bich mai shaban ka mahina
hai. Log uski qadar nahi karte halanki is mahine mai bando ke amaal allah
ke darbar mai pesh kiye jate hai, isliye mai pasand karta hun ki meri
amaal allah ke darbar mai jab pesh ho to mai roze se hun.
Tazdare kounen- sallallaho-alaye-wa-sallam farmate hai:-
Shaban
mahine ko saal ke dusre mahino par ayeshi fazilat hashil hai jayese
mujhe sare nabiyon par fazilat hashil hai. Jab shaban ka mahina aye to
apne nafs ko ramzan ke liye paak karo aur apni niyat achchhi rakhkho
uske liye meri shafa-at halal ho gayi.
Tafshir ki mashhur kitabo mai shaban ki 15vi raat ke 4-naam likhkhe milte hai:-
[1] Layelatul Mubarak , (Barkat wali
raat) [2] Layelatul bara-at (Magferat wali raat) [3] Layeturrahmat
(Rahemat wali raat) [4] Layelatul sak (Nizat ka parwana milne wali
raat)
Hazrat –Abu-Hurayera-radiallaho-anho-farmate hai:-
Allah
ke rasul ne farmaya- shaban ki 15vi raat mai hazrat jibraiyil mere pass
aye aur araz kiya ya rasul allah! Sar asman ki taraf uthayein . maine
puchha-yaha koun si raat hai? To Jibraiyil ne bataya- yaha badi Mubarak
raat hai. Is raat allah paak apni rahemat se badmazhabo, mushriko,
jadugar, kahino, adi janiyon, aur aadi sharibiyon ke shiwa sabko bakhsh
deta hai. Ek aur dusri hadis mai hai- muslmaano mai fhut dalne
walo, sud khane walo, mare ghamad ke takhne, ke niche tak
taheban-payejama latkane walo, maa-baap ki nafarmani karne walo ko bhi
nahi maaf farmata. Haan agar yaha log apni in burayion ko chhodne ka
pakka erada karke sachchhe dil se tawba kare to allah ki rahemat se
karib hai ki inhe bhi bakhsh de.
Amirul –momenin-hazrat-sayydun-abu-bakr-siddiq-radiallaho-anho farmate hai:-
Allah
ke rasul ne farmaya- shaban ki 15vi raat mai nafil namaze padho. 15
tarikh ka roza rakhkho. Yah barkat wali raat hai. Allah paak is raat
bando ko bula-baulakar apni ataaye dene ka ayelan farmata hai.
Allah
ke rasul ne farmaya- saal bhar mai jo payeda hone wale hota hain wah is
raat likhkh diya jate hain aur saal bhar mai jitne marne wale wa halak
hone wale hote hai wo bhi iss raat likh liye jate hai. Issi raat bando
ke amaal barbare elahi mai pesh kiye jate hai aur issi raat mai logo ki
rozi utari jati hai.
SHAB-E-BARA’AT IS RAAT KI IBADATE
Jo
adimi is raat 100-rakat nafil namaz padhega, allah paak usske liye ek
100-farishte bhejega. 30-farishte use jannat ki basharat sunayege,
30-farishte use jahannam ke azab se bachayege aur 30-farishte usse
duniyabi aafato se mahefuz rakhkhege aur 10-farishte usse shayetan ke
makr wa fareb se bachayege (Tabsir-e-kabir)
Miftahul jinan mai likhkha hai:-
14
– shaban ko suraj dubne ke karib jo adimi 40-baar
LA-HAWLA-WALA-QUWWATA-ILLA-BILLA-HIL-ALIYIL-AZIM aur 100-baar darud
sharif padhega, allah paak apni rahemat se uske 40-saal ke gunah maaf
farma dega aur jannat mai uski khidmat ke liye 40-huro aata farmaye ga.
Maqsudul kashidin kitab mai likhkha hai:-
jo
shaban ki 15vi raat mai 20-rakat nafil padhe, har rakat mai
sur-e-fateha ke baad sur-e-ikhlash (kulhuwllah….) 10-10 baar padhey,
allah paak uske amaal namai mai 10-hazar nekiya darz farmayega.
Maglib ki namaz ke baad 2-2-rakat ki niyat se 6-rakat nafil padhne ka bayan bhi kitabo mai aya hai. Yaha namaz is tarah padhe-
2-takat
ke baad ek baar sur-e-yashin ya 21-baar sur-e-ikhlash (kulhuwllah..)
sharif padhy, fir sab-e-barat wali dua mage. Dobara 2-rakat baad bhi
1-baar yashin sharif ya 21-baar kulhuwllah padhkar sab-e-barat wali dua
padh kar balao se nizat pane ki dua kare. Isse tarah tisri baar 2-rakat
ke baad mohtazi duur hone ki dua mage… (SHERAT-E-MUSTAKIM)
Allah
ham tamam muslmano ko is raat ki fazilat se bakhsh de aur ham neki ki
rah par chalaye..shayetan ke fareb se hamari hifazatkare aur….hamari har
zayaz duao ko iss raat mai qabul farmaye.. Ameen.