Auliya Allāh ka bayaan
Auliya Allāh ka bayaan :
Wali ka ma’ana hai Dost.
Auliya Allāh ALLĀH ta’ala ke wo Mo’min Saaleh Muqaddas bande hote


Wilaayat ki 3 qisme hain :
[1] Wilaayat e Fitari – Jo paidaishi wali Allah hote hain.
[2] Wilaayat e Kasabi – Jo apni ibaadat, riyaazat aur zohado taqwa se Allah ke wali bante hain.
[3] Wilaayat e Wahabi (Ataai) – Jo kisi ki dua se wali Allāh bante hain (Kisi Wali Allāh ki ya Ahle bait /Aal e Rasool ki ya Peer ki ya Waalidain ki dua se).
Auliya Allāh har zamaane me hote hain aur qayamat tak hote rahenge.
Ba’az Auliya Allāh Wilaadat (paidaish) se hi zaahir hote hain, ba’az kuchh arse ke ba’ad aur ba’az dunya se parda karne (wisaal) ke baad zaahir hote hain.
Wilaayat ke bahut se Darjaat hote hain :
Maslan Ghaus, Qutub, Nuqaba, Awtaad, Abraar, Abdaal aur Akhyaar.
Dunya me har ilaake me 1 Ghaus, 3 Qutub, 3 Nuqaba, 4 Awtaad, 7 Abraar, 14 Abdaal aur 300 Akhyaar hote hain.
Jab kisi Akhyaar ka wisaal hota hai to ALLĀH ta’ala kisi Mo’min Saaleh ko Akhyaar banata hai. Jab kisi Abdaal ka wisaal hota hai to Akyaar me se kisi aik ko Abdaal banata hai. Jab kisi Abraar ka wisaal hota hai to Abdaal me kisi aik ko Abraar banata hai. Kisi Awtaad ka wisaal hota hai to Abraar me se kisi aik ko Awtaad me banata hai. Jab kisi Nuqaba ka wisaal hota hai to kisi Awtaad ko Nuqaba banata hai. Jab kisi Qutub ka wisaal hota hai to Nuqaba me se kisi aik ko Qutub banata hai aur Jab Ghaus ka wisaal hota hai to Qutub me se kisi aik ko Ghaus banata hai.
Aur in ki muqarrar ta’adad utni hi rehti hai.
Har ilaake ke Abdaal ki kuchh khaas zimmedari hoti hai jaise Baarish barsana, Rizq taqsim karna aur Balaao ko door karna.
Auliya Allāh ke fazaail :
(1) Qur’an :
10 Surah al-Yunus, Aayat 62-63-64 :
أَلَا إِنَّ أَوْلِيَاءَ اللَّهِ لَا خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلَا هُمْ يَحْزَنُونَ
الَّذِينَ آمَنُوا وَكَانُوا يَتَّقُونَ
لَهُمُ الْبُشْرَىٰ فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا وَفِي الْآخِرَةِ ۚ لَا تَبْدِيلَ لِكَلِمَاتِ اللَّهِ ۚ ذَٰلِكَ هُوَ الْفَوْزُ الْعَظِيمُ
Khabardar sun lo beshak jo ALLĀH ke dost hote hain unko na to koi khauf hota hai aur na koi gham hota hai.
Wo log jo eimaan laaye aur (hamesha) taqwa par rahe.
Un ke liye duniya ki zindagi me (izzat wa kaamyabi ki) khush-khabari hai aur aakhirat me bhi (magfirat wa shafa’at ki).
(2) Hadeese Qudsi :
ALLĀH ta’ala farmata hai :
‘Jis ne mere kisi Wali se dushmani ki main us se elaane e jang karta hu.’ (Bukhari, Jild -5, Hadees -2384;
Sunan Ibne Maajah, Kitaab-ul-Fitan, Hadees -3989)
(3) Hadeese Nabawi :
Wali woh hai jis (ki surat) ko dekhna tumhe ALLĀH ki yaad dilaye, Jis ki guftagu Ilm me izaafa kare, Aur jis ke amal aakhirat ki yaad dilaye.
(4) Hadeese Nabawi :
Hazrat Abdullah bin Umar radi-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki :
Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaya,
‘Beshak ALLĀH ta’ala ke kuchh khaas bande aise hain ke ALLĀH ta’ala ne unhe makhlooq ki haajat rawai ke liye khaas farmaya hai. Log apni haajaten un ke paas lekar aate hain (aur wo un ki haajat rawai karte hain). ALLĀH ta’ala ke wo khaas bande azaabe Ilaahi se amaan me hain.’
(5) Hadeese Nabawi :
Huzoore akram Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaya ki
“Jab tum me se kisi ki sawaari jangal me chhut jaaye ya koi cheez kho jaaye to is tarah pukarna chahiye, ‘Aainooni Ya Ibaad-Allāh ya’ni Aye ALLĀH ke bando, meri madad karo’, Aisa 3 baar kahe.
Kyun ki ALLĀH ke bahut se aise bande is zameen par hote hain, Jo tumhari madad karenge.” (Tibraani Kabeer, Hadees -105 18; Fatah-ul qadir, Jild – 1, Safa -92)
(6) Hadeese Nabawi :
Hazrate Umar Farooq radi-Allaāhu ta’ala anhu riwayat hai :Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaya,
‘ALLAH ke kuchh bande aise honge jo na Nabi honge aur na Shohada honge; Magar roze mehashar un ke buland maqaam ko dekh kar Nabi bhi rashk karenge aur Shohada bhi rashk karenge.’
Asahaba ne arz kiya : ‘ Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam, Hume bata de’n, wo kaun log honge?”
Aap sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaya, ‘Yeh wo log hain jo ALLĀH ke liye ek-dusre se mohabbat karte hain. ALLĀH ki qasam un ke chehre 14wi raat ke chaand ki tarah chamak rahe honge aur wo noor ke mimbaron par baithe honge. Us din jab log khaufzada honge unhe koi khauf na hoga aur jab us din log ghamzada honge unhe koi gham na hoga.’
Phir Aap sallallāhu alaihi wa sallam ne yeh Aayat Tilawat ki –
أَلَا إِنَّ أَوْلِيَاءَ اللَّهِ لَا خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلَا هُمْ يَحْزَنُونَ
(Qur’an :10 Surah al-Yunus, Aayat 62)
‘Khabardar sun lo beshak jo ALLĀH ke dost hote hain un ko na to koi khauf hota hai aur na koi gam hota hai.’
(Abu Daawood, Jild -3, Safa -288, Hadees -3527)
(7) Hadeese Nabawi :
Ek baar Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaya,
‘ALLĀH ta’ala ne meri ummat me 70,000 afraad aise ata farmaye hain jo bagair hisaab o kitaab ke Jannat me daakhil honge.’
Ye sunkar ek sahabi ne aage aaye aur arz kiya ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam, Aap ne ALLĀH ta’ala se majeed na maanga?’
Aap ne aage farmaya ‘Wo har aik apne saath 70-70 hazaar logo ko Jannat me leke jaayenge.’
(Sahih Bukhari, Jild -11, Kitaab-ul-Raqaia, Safa 416; Sahih Muslim, Jild -1, Kitaab-ul-Eimaan, Safa -198)
Auliya Allāh ki khubiya (khaslaten) :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) ALLĀH ta’ala apne auliya ko khaas khubiya ata farmata hai.
Un ke chehre par aisa Noor ata farmata hai ke dekhne wale keh deta hai ‘Maasha Allāh’ aur un ka kalaam (guftagu) sunne wale keh dete hai ‘Subhan Allāh’ aur unke amal dekhkar logo ko apne gunaho se tauba karne ki taufiq milti hai.
(2) Auliya Allāh Mo’min Saaleh bande hote hain.Un ke Aqeede aur amal sahih aur nek hote hain.Wo Ikhlaas ke saath Raza e Ilaahi ke liye nek amal karte hain.Wo har amal Khushu’ aur Khuzu’ ke saath karte hain.Wo Riya (dikhaawa) aur Takabbur se paak hote hain.Unhe Shoharat ki laalach nahi hoti.Wo Ta’azeeme Rasool aur Ita’at wa Iteeba e Rasool karke mukammal ishq e Rasool ka saboot paish karte hain.Wo Farz amal ada karne ke saath nawaafil ki kasrat karte hain.
Zyada waqt Ibaadat e ilaahi, Zikr e ilaahi, Tilawaat e Qur’an aur Durood o Salaam padhne me guzarte hain.Un ko ALLĀH ta’ala gunaho se bachne ki taufiq ata farmata hai.Wo hamesha Taqwa (parhezgaari) ikhtiyar karte hain aur khufe khuda se gunah se bachte hain.Wo Zohad ikhtiyar karte hain aur hamesha ALLĀH ki raza ke liye aur aakhirat ke liye dunya (ke maal wa daulat) se muhabbat wa raghbat nahi rakhte.Wo Kam bolna Hikmat samajhte hai, Kam khaana Sehat samajhte hai, Kam sona Ibaadat samajhte hai, Aur logo se kam milna samajhte Aafiyat hai.
(3) Auliya Allāh Tawakkal aur Qana’at wale hote hain aur har haal me ALLĀH ka Shukr aur Sabr karte hain.Wo kisi makhlooq ke mohtaaj nahi hote.Hamesha sirf ALLĀH ta’ala se maangte hain aur logo ko ata karte rehte hain.
Aur ALLĀH ki ata par raazi rehte hain.Unhe na dunyawi cheezo ka khauf hota hai aur na in cheezo ki laalach hoti hai aur na dunyawi nuqsan ka ranj o gham hota hai.
(4) ALLĀH ta’ala unhe itna ilm ata farmata hai ki jis se wo Halaal wa Haraam aur Jaaiz wa Na-jaaiz ki pehchan rakhte hain aur hamesha haraam wa na-jaaiz se bachte hai.
(5) ALLĀH ta’ala un ke zariye logo ko hidaayat ata farmata hai aur wo logo ki islaah karte hain. Kaafiro ko Musalman banata hai aur Gunahgaro ko Nek banata hai aur Mo’mino ko Wali banata hai.Wo ALLAH ke ata kiye gaye ilm wa hikmat se aur apne amal aur naseehat se islaam ki isha’at aur hifaazat karte hain.
(6) ALLĀH ta’ala un ke waseele se hamari duayen jaldi qubool farmata hai aur hamare liye behtar hai wo ata farmata hai aur jo un se madad ke liye Istegasah karte hain un ko unke liye jo behtar hai wo ALLĀH se ata farmate hain.
ALLĀH ta’ala unhe Quwwat ata farmata hai ke Jab koi un se nisbat rakhne wala un ko madad ke liye pukarta hai ya dil me yaad karta hai wo qareeb ho ya door Auliya Allah us ki madad farmate hain. Isi tarah baade wisaal bhi wo madad farmate hain.Un ki dua me aisa asar hota hai ki wo jis ke liye dua e khair karte hain ALLĀH ta’ala use khairo barkat ata farmata hai.
(7) Wo ALLĀH ke hukm se islaam ki isha’at wa hifazat ke liye Karaamat zaahir karte hain aur Ghaib ki baaten batate hain.
Magar Karaamat zaahir karna zaoori nahi. Balke un ki sab se badi karaamat ye hoti hai ki wo har amal shariat e islaam ke mutabik karte hain.ALLĀH jise apna Wali banata hai wo wali banne ke baad hamesha gunaaho se bachta hai aur dunya ki mohabbat aur khwaahishaat se bhi parhez karta hai.Aur jab wo koi karaamat zaahir karte hain tab bhi us par ghuroor nahi karte aur yehi kehte hain ke ye to mere Rab ke fazl o karam se hua hai.
(8) Is ke ilaawa un me Haya, Adab, Tahaarat, Saadgi, Sadaaqat, Amaanatdaari, Halaal rizq, Husn e akhlaaq, Husn e Sulook wa kirdaar, Khush-mizaazi, Narmi, Sakhaawat aur Sila rehmi jaisi khaslaten majood hoti hain.
(9) Jis shakhs me 3 khaslaten hoti hai wo ALLĀH ka wali hota hai:Samundar jaisi Sakhaawat, Sooraj jaisi Shafqat aur Zameen jaisi tawaazo’.Ya’ni tamaam ke liye us ke fayuzo barkaat aam aur yaksaan hota hai aur sab ko kuchh na kuchh ata karte rehte hain.Wo logo se sirf ALLĀH ke liye muhabbat karte hain.
(10) ALLĀH ki rahmat se unhe Maut ki koi sakhti ya pareshani mehsoos nahi karni padti.Aur Qabr me bhi unhe Jannat ki bahaaren aur Noor ka in’am ata farmata hai.ALLĀH ta’ala un ki magfirat farma deta hai.
(11) ALLĀH ta’ala ne apne muqarrab Auliya ko wisaal ke baad bhi Aalame baqa me zindagi ata farmai hai.
Sirf un ki dunyawi zindagi puri hoti hai, Lekin wo baade wisaal kafan me bhi zinda hain, Janaaze me bhi zinda hain aur un ke mazaar me bhi zinda hain aur un ki ukhrawi zindagi jaari hai.Aur wo wisaal ke baad bhi ALLĀH ta’ala ke muqarrab rehte hain aur Un ka martaba aur charcha hamesha buland rehta hai aur wisaal ke baad bhi unke kamalaat aur faiz jaari rehte hain aur ALLĀH ta’ala un ke waseele se hamari dua qubool farmata hai.Wo apne mazaar par aane walo ke Salaam ko sunkar un ke jawaab bhi dete hain.(Aam insaan un ke jawaab ko nahi sun sakte, Sirf dusre Auliya Allāh hi sun sakte hain.)
(12) Roz e Mehshar Auliya Allāh ke bahut buland martabe aur maqaam honge.Qayamat me un ko koi paresahni ya khauf na hoga. Aur Hisaab, Mizaan aur Pul siraat ke imtihaan un ke liye bilkul aasan honge.Aur wo apne mureedo ki aur nisbat rakhne walo ki Shafa’at karenge aur unhe Jannat me le jaayenge.
Auliya Allāh ke baare me chand khaas baaten :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Hazrat Ali radi-Allāhu ta’ala anhu ‘Faatih e Wilaayat’ hain ya’ni Ummate Mohammadi me Wilaayat ka silsila aap se shuru hua.
(2) Tamaam Auliya Allāh me sab se aa’la daeja ‘Ashra e mubashshira’ radi-Allāhu ta’ala anhuma ka hai.Aur un me sab se aa’la darja Khulfa e Raashideen radi-Allāhu ta’ala anhuma ka hai.Ummat e Mustafa me Gaus ka darja sab se pehle Hazrate Abu Bakr Siddeeq radi-Allāhu ta’ala anhu ko mila. Un ke baad Hazrate Umar Farooq radi-Allāhu ta’ala anhu ko aur un ke baad Hazrate Usmaan Ghani radi-Allāhu ta’ala anhu ko aur un ke baad Hazrate Ali al-Murtaza radi-Allāhu ta’ala anhu ko mila hai.
(3) Hazrat Ghaus e aazam Abdul Qaadir Jeelani radi-Allāhu ta’ala anhu Sayyed ul Auliya aur Peeran e Peer hain. Aap ko ‘Ghausiyat e kubra’ ka martaba mila hai.Aap se pehle ye martaba Imaam Hasan al-Askari radi-Allāhu ta’ala anhu ke paas tha.Aur Gause aazam ke baad ye martaba Imaam Muhammad al-Mahdi radi-Allāhu ta’ala anhu ko milega.
(4) 4 Auliya ko ‘Qalandar’ ka martaba mila hai :
Hazrat Shaikh Abdul Azeez Makki ‘Daada Hayaat Mir’ Qalandar, Hazrate Rabia Basri al-Adawiyya (Basra, Iraq), Hazrat Sayyed Usmaan ‘Laal Shahbaaz’ Qalandar (Sehwan, Pakistan) aur Hazrat Sharf-ud-deen ‘Bu Ali Shaah’ Qalandar (Panipat) rahmatullāhi alaihi.
Auliya Allāh ke faizo barkaat haasil karne ke 7 tareeqe hain :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Bai’at – Kisi Peer e tareeqat ka mureed hona.
(2) Sohbat wa khidmat – Kisi wali Allāh ki sohbat me rehna ya un ki mehfil me jaana ya un ki khidmat karte rehna.
(3) Ziyaarat – Auliya Allāh ke mazaar par haazri dena.
(4) Tawassul wa Istegaasah – Auliya Allāh ke waseele se ALLAH ta’ala se dua karna.
(5) Zikr – Apni guftagu me, bayaan me ya manqabat me Auliya Allāh ke fazaail wa martaba, sirat wa amal, zindagi aur karaamat wagairah ka tazkira karna.
(6) Isaal e sawaab – Koi bhi nek kaam karke un ko isaal e sawaab karna.
(7) Pairwi – Auliya Allāh ke darse amal (Qaul o fail) par amal karna.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me Aur Faatih e wilayat Hazrate Ali radi-Allāhu ta’ala anhu aur Ghaus e aazam Peeran e peer Abdul Qaadir Jeelani radi-Allāhu ta’ala anhu ke waseele se Sab ko hidaayat ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae.Aur Sab ko Auliya Allāh ka mukammal ishq ata farmae aur un ki bai’at, sohbat wa khidmat, ziyarat, zikr, tawassul, isaal e sawaab aur pairwi ke zariye un ke fayuz o barkaat haasil karne wala banaye.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaaiz murado ko puri farmae. Aameen.
next Auliya-allah-ki-pehchaan
For More Msgs Click This Link
www.hadish.in
Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN